tark-e-taalluq kar to chuke hain ik imkaan abhi baaki hai
ek mahaaz se laut aaye hain ik maidaan abhi baaki hai
shaayad us ne hasi hasi mein tark-e-wafa ka zikr kiya ho
yoonhi si ik khush-fahmi hai itminaan abhi baaki hai
raatein us ke hijr mein ab bhi naza' ke aalam mein kattee hain
dil mein waisi hi vehshat hai tan mein jaan abhi baaki hai
bachpan ke is ghar ke saare kamre maaliya-met hue
jis mein ham khela karte the vo daalaan abhi baaki hai
diye munder p rakh aate hain ham har shaam na jaane kyun
shaayad us ke laut aane ka kuchh imkaan abhi baaki hai
ek adaalat aur hai jis mein ham tum ik din haazir honge
faisla sun kar khush mat hona ik mizaan abhi baaki hai
तर्क-ए-तअल्लुक़ कर तो चुके हैं इक इम्कान अभी बाक़ी है
एक महाज़ से लौट आए हैं इक मैदान अभी बाक़ी है
शायद उस ने हँसी हँसी में तर्क-ए-वफ़ा का ज़िक्र किया हो
यूँही सी इक ख़ुश-फ़हमी है इत्मिनान अभी बाक़ी है
रातें उस के हिज्र में अब भी नज़अ के आलम में कटती हैं
दिल में वैसी ही वहशत है तन में जान अभी बाक़ी है
बचपन के इस घर के सारे कमरे मालिया-मेट हुए
जिस में हम खेला करते थे वो दालान अभी बाक़ी है
दिए मुंडेर प रख आते हैं हम हर शाम न जाने क्यूँ
शायद उस के लौट आने का कुछ इम्कान अभी बाक़ी है
एक अदालत और है जिस में हम तुम इक दिन हाज़िर होंगे
फ़ैसला सुन कर ख़ुश मत होना इक मीज़ान अभी बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Dil Shayari Shayari