na gumaan maut ka hai na khayal zindagi ka
so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka
main shikasta baam o dar mein jise ja ke dhundhta tha
koi yaad thi kisi ki koi naam tha kisi ka
main hawaon se hiraasaan vo ghutan se dil-girfta
main charaagh teergi ka vo gulaab raushni ka
abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal dono
kahi rog ban na jaaye yahi saath do ghadi ka
koi shehar aa raha hai to ye khauf aa raha hai
koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka
koi mukhtalif nahin hai ye dhuaan ye raaegaani
ki jo haal shehar ka hai wahi apni shaayri ka
न गुमान मौत का है न ख़याल ज़िंदगी का
सो ये हाल इन दिनों है मिरे दिल की बे-कसी का
मैं शिकस्ता बाम ओ दर में जिसे जा के ढूँडता था
कोई याद थी किसी की कोई नाम था किसी का
मैं हवाओं से हिरासाँ वो घुटन से दिल-गिरफ़्ता
मैं चराग़ तीरगी का वो गुलाब रौशनी का
अभी रेल के सफ़र में हैं बहुत निहाल दोनों
कहीं रोग बन न जाए यही साथ दो घड़ी का
कोई शहर आ रहा है तो ये ख़ौफ़ आ रहा है
कोई जाने कब उतर ले कि भरोसा क्या किसी का
कोई मुख़्तलिफ़ नहीं है ये धुआँ ये राएगानी
कि जो हाल शहर का है वही अपनी शाइरी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Terrorism Shayari Shayari