vo pehli jaisi vahshatein vo haal hi nahin raha | वो पहली जैसी वहशतें वो हाल ही नहीं रहा

  - Aitbar Sajid

vo pehli jaisi vahshatein vo haal hi nahin raha
ki ab to shauq-e-raahat-e-visaal hi nahin raha

tamaam hasratein har ik sawaal dafn kar chuke
hamaare paas ab koi sawaal hi nahin raha

talaash-e-rizq mein ye shaam is tarah guzar gai
koi hai apna muntazir khayal hi nahin raha

in aate jaate roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
kisi ke hijr ka koi malaal hi nahin raha

hamaara kya banega kuchh na kuchh to is pe sochte
magar kabhi hamein gham-e-maal hi nahin raha

tumhaare khaal-o-khud pe ik kitaab likh rahe the ham
magar tumhaara husn be-misaal hi nahin raha

sanwaarta nikhaarta main kaise apne aap ko
tumhaare baad apna kuchh khayal hi nahin raha

zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya
taalluqaat ka to phir sawaal hi nahin raha

वो पहली जैसी वहशतें वो हाल ही नहीं रहा
कि अब तो शौक़-ए-राहत-ए-विसाल ही नहीं रहा

तमाम हसरतें हर इक सवाल दफ़्न कर चुके
हमारे पास अब कोई सवाल ही नहीं रहा

तलाश-ए-रिज़्क़ में ये शाम इस तरह गुज़र गई
कोई है अपना मुंतज़िर ख़याल ही नहीं रहा

इन आते जाते रोज़-ओ-शब कि गर्दिशों को देख कर
किसी के हिज्र का कोई मलाल ही नहीं रहा

हमारा क्या बनेगा कुछ न कुछ तो इस पे सोचते
मगर कभी हमें ग़म-ए-मआल ही नहीं रहा

तुम्हारे ख़ाल-ओ-ख़द पे इक किताब लिख रहे थे हम
मगर तुम्हारा हुस्न बे-मिसाल ही नहीं रहा

सँवारता निखारता मैं कैसे अपने आप को
तुम्हारे बाद अपना कुछ ख़याल ही नहीं रहा

ज़रा सी बात से दिलों में इतना फ़र्क़ आ गया
तअल्लुक़ात का तो फिर सवाल ही नहीं रहा

  - Aitbar Sajid

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari