phoolon mein vo khushboo vo sabahat nahin aayi | फूलों में वो ख़ुशबू वो सबाहत नहीं आई

  - Aitbar Sajid

phoolon mein vo khushboo vo sabahat nahin aayi
ab tak tire aane ki shahaadat nahin aayi

mausam tha numaish ka magar aankh na khuli
jaanaan tire zakhamon ko siyaasat nahin aayi

jo rooh se aazaar ki maanind lipt jaaye
ham par vo ghadi ai shab-e-vahshat nahin aayi

ai dast-e-anl-haq tire qurbaan abhi tak
vo manzil izhaar-e-sadaqat nahin aayi

ham log ki hain maon se bichhde hue bacche
hisse mein kisi ke bhi mohabbat nahin aayi

ham ne to bahut harf tiri madah mein soche
afsos ki sunwaai ki naubat nahin aayi

larze bhi nahin shehar ke hassaas dar-o-baam
dil raakh hue phir bhi qayamat nahin aayi

saajid vo sehar jis ke liye raat bhi roee
aayi to sahi hasb-e-zaroorat nahin aayi

फूलों में वो ख़ुशबू वो सबाहत नहीं आई
अब तक तिरे आने की शहादत नहीं आई

मौसम था नुमाइश का मगर आँख न खोली
जानाँ तिरे ज़ख़्मों को सियासत नहीं आई

जो रूह से आज़ार की मानिंद लिपट जाए
हम पर वो घड़ी ऐ शब-ए-वहशत नहीं आई

ऐ दश्त-ए-अनल-हक़ तिरे क़ुर्बान अभी तक
वो मंज़िल इज़हार-ए-सदाक़त नहीं आई

हम लोग कि हैं माओं से बिछड़े हुए बच्चे
हिस्से में किसी के भी मोहब्बत नहीं आई

हम ने तो बहुत हर्फ़ तिरी मदह में सोचे
अफ़्सोस कि सुनवाई की नौबत नहीं आई

लरज़े भी नहीं शहर के हस्सास दर-ओ-बाम
दिल राख हुए फिर भी क़यामत नहीं आई

'साजिद' वो सहर जिस के लिए रात भी रोई
आई तो सही हस्ब-ए-ज़रूरत नहीं आई

  - Aitbar Sajid

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari