band dariche sooni galiyaan an-dekhe anjaane log
kis nagri mein aa nikle hain saajid ham deewane log
ek humi na-waaqif thehre roop-nagar ki galiyon se
bhes badal kar milne waale sab jaane-pahchaane log
din ko raat kahein so bar-haq subh ko shaam kahein so khoob
aap ki baat ka kehna hi kya aap hue farzaane log
shikwa kya aur kaisi shikaayat aakhir kuchh buniyaad to ho
tum par mera haq hi kya hai tum thehre begaane log
shehar kahaan khaali rehta hai ye dariya har-dam bahta hai
aur bahut se mil jaayenge ham aise deewane log
suna hai us ke ahad-e-wafaa mein hawa bhi muft nahin milti
un galiyon mein har har saans pe bharte hain jurmaane log
बंद दरीचे सूनी गलियाँ अन-देखे अनजाने लोग
किस नगरी में आ निकले हैं 'साजिद' हम दीवाने लोग
एक हमी ना-वाक़िफ़ ठहरे रूप-नगर की गलियों से
भेस बदल कर मिलने वाले सब जाने-पहचाने लोग
दिन को रात कहें सो बर-हक़ सुब्ह को शाम कहें सो ख़ूब
आप की बात का कहना ही क्या आप हुए फ़रज़ाने लोग
शिकवा क्या और कैसी शिकायत आख़िर कुछ बुनियाद तो हो
तुम पर मेरा हक़ ही क्या है तुम ठहरे बेगाने लोग
शहर कहाँ ख़ाली रहता है ये दरिया हर-दम बहता है
और बहुत से मिल जाएँगे हम ऐसे दीवाने लोग
सुना है उस के अहद-ए-वफ़ा में हवा भी मुफ़्त नहीं मिलती
उन गलियों में हर हर साँस पे भरते हैं जुर्माने लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Pollution Shayari Shayari