shahr-e-hawa mein jalte rahna andeshon ki chaukhat par
raat gaye tak uljhe rahna be-mafhoom khayaalon mein
qasr-e-umr gawaahi dega kaise kaise karb sahe
kaisi kaisi rut guzri hai ham par itne saalon mein
dosh-e-khala se khaak-e-zameen par utre to ehsaas hua
taare baantne waale raahi pad gaye kin janjaalon mein
le aayi kis qarya-e-shab mein ik jhoote mahtaab ki chaah
saaya saaya bhatk raha hoon be-tanveer ujaalon mein
mausam mausam yahi raha gar khushboo ki tahqeer ka rang
seese ki kaliyaan footengi ab lohe ki daalon mein
saajid ab tak bhugat rahe hain ik be-ant saza ki umr
apna naam likha baithe the ik din jeene waalon mein
शहर-ए-हवा में जलते रहना अंदेशों की चौखट पर
रात गए तक उलझे रहना बे-मफ़्हूम ख़यालों में
क़स्र-ए-उम्र गवाही देगा कैसे कैसे कर्ब सहे
कैसी कैसी रुत गुज़री है हम पर इतने सालों में
दोश-ए-ख़ला से ख़ाक-ए-ज़मीं पर उतरे तो एहसास हुआ
तारे बाँटने वाले राही पड़ गए किन जंजालों में
ले आई किस क़र्या-ए-शब में इक झूटे महताब की चाह
साया साया भटक रहा हूँ बे-तनवीर उजालों में
मौसम मौसम यही रहा गर ख़ुशबू की तहक़ीर का रंग
सीसे की कलियाँ फूटेंगी अब लोहे की डालों में
'साजिद' अब तक भुगत रहे हैं इक बे-अंत सज़ा की उम्र
अपना नाम लिखा बैठे थे इक दिन जीने वालों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Musafir Shayari Shayari