dil hain yun muztarib makaanon mein | दिल हैं यूँ मुज़्तरिब मकानों में

  - Aitbar Sajid

dil hain yun muztarib makaanon mein
machliyaan jaise martabaanon mein

dhoop se dhoondte hain raah-e-faraar
log sheeshe ke saayebaanon mein

be-iraada kalaam ki khwaahish
be-sabab luknatein zabaanon mein

teri aamad pe jaise laut aaya
waqt guzre hue zamaanon mein

dil dhadakta hai har sitaare ka
aaj ki raat aasmaanon mein

zang-aalood ho gaye jazbi
jam gaye harf sard-khaanon mein

reshmi log dhoondte hain ham
shehar ke aahani makaanon mein

दिल हैं यूँ मुज़्तरिब मकानों में
मछलियाँ जैसे मर्तबानों में

धूप से ढूँडते हैं राह-ए-फ़रार
लोग शीशे के साएबानों में

बे-इरादा कलाम की ख़्वाहिश
बे-सबब लुकनतें ज़बानों में

तेरी आमद पे जैसे लौट आया
वक़्त गुज़रे हुए ज़मानों में

दिल धड़कता है हर सितारे का
आज की रात आसमानों में

ज़ंग-आलूद हो गए जज़्बी
जम गए हर्फ़ सर्द-ख़ानों में

रेशमी लोग ढूँडते हैं हम
शहर के आहनी मकानों में

  - Aitbar Sajid

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari