ye haseen log hain tu in ki muravvat pe na ja | ये हसीं लोग हैं तू इन की मुरव्वत पे न जा

  - Aitbar Sajid

ye haseen log hain tu in ki muravvat pe na ja
khud hi uth baith kisi izn o ijaazat pe na ja

soorat-e-sham'a tire saamne raushan hain jo phool
un ki kirnon mein naha zauq-e-samaaat pe na ja

dil si check-book hai tire paas tujhe kya dhadka
jee ko bha jaaye to phir cheez ki qeemat pe na ja

itna kam-zarf na ban us ke bhi seene mein hai dil
us ka ehsaas bhi rakh apni hi raahat pe na ja

dekhta kya hai thehar kar meri jaanib har roz
rauzan-e-dar hoon meri deed ki hairat pe na ja

tere dil-sokhta baithe hain sar-e-baam abhi
baal khole hue taaron bhari is chat pe na ja

meri poshaak to pehchaan nahin hai meri
dil mein bhi jhaank meri zaahiri haalat pe na ja

ये हसीं लोग हैं तू इन की मुरव्वत पे न जा
ख़ुद ही उठ बैठ किसी इज़्न ओ इजाज़त पे न जा

सूरत-ए-शम्अ तिरे सामने रौशन हैं जो फूल
उन की किरनों में नहा ज़ौक़-ए-समाअत पे न जा

दिल सी चेक-बुक है तिरे पास तुझे क्या धड़का
जी को भा जाए तो फिर चीज़ की क़ीमत पे न जा

इतना कम-ज़र्फ़ न बन उस के भी सीने में है दिल
उस का एहसास भी रख अपनी ही राहत पे न जा

देखता क्या है ठहर कर मिरी जानिब हर रोज़
रौज़न-ए-दर हूँ मिरी दीद की हैरत पे न जा

तेरे दिल-सोख़्ता बैठे हैं सर-ए-बाम अभी
बाल खोले हुए तारों भरी इस छत पे न जा

मेरी पोशाक तो पहचान नहीं है मेरी
दिल में भी झाँक मिरी ज़ाहिरी हालत पे न जा

  - Aitbar Sajid

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari