mera hai kaun dushman meri chaahat kaun rakhta hai | मिरा है कौन दुश्मन मेरी चाहत कौन रखता है

  - Aitbar Sajid

mera hai kaun dushman meri chaahat kaun rakhta hai
isee par sochte rahne ki furqat kaun rakhta hai

makeenon ke taalluq hi se yaad aati hai har basti
wagarana sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai

nahin hai nirakh koi mere in ash'aar-e-tazaa ka
ye mere khwaab hain khwaabon ki qeemat kaun rakhta hai

dar-e-khema khula rakha hai gul kar ke diya ham ne
so izn-e-aam hai lo shauq-rukhsat kaun rakhta hai

mare dushman ka qad is bheed mein mujh se to ooncha ho
yahi mein dhoondhta hoon aisi qamat kaun rakhta hai

hamaare shehar ki raunaq hai kuchh mashhoor logon se
magar sab jaante hain kaisi shohrat kaun rakhta hai

मिरा है कौन दुश्मन मेरी चाहत कौन रखता है
इसी पर सोचते रहने की फ़ुर्सत कौन रखता है

मकीनों के तअल्लुक़ ही से याद आती है हर बस्ती
वगरना सिर्फ़ बाम-ओ-दर से उल्फ़त कौन रखता है

नहीं है निर्ख़ कोई मेरे इन अशआर-ए-ताज़ा का
ये मेरे ख़्वाब हैं ख़्वाबों की क़ीमत कौन रखता है

दर-ए-ख़ेमा खुला रक्खा है गुल कर के दिया हम ने
सो इज़्न-ए-आम है लो शौक़-रुख़्सत कौन रखता है

मरे दुश्मन का क़द इस भीड़ में मुझ से तो ऊँचा हो
यही में ढूँढता हूँ ऐसी क़ामत कौन रखता है

हमारे शहर की रौनक़ है कुछ मशहूर लोगों से
मगर सब जानते हैं कैसी शोहरत कौन रखता है

  - Aitbar Sajid

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari