mujh se mukhlis tha na waqif mere jazbaat se tha
us ka rishta to faqat apne mafaadaat se tha
ab jo bichhda hai to kya royen judaai pe tiri
yahi andesha hamein pehli mulaqaat se tha
dil ke bujhne ka hawaon se gila kya karna
ye diya naz'a ke aalam mein to kal raat se tha
markaz-e-shahr mein rahne pe musir thi khilqat
aur main waabasta tire dil ke mazaafat se tha
main kharaabon ka makeen aur ta'alluq mera
tere naate kabhi khwaabon ke mahallaat se tha
lab-kushaai pe khula us ke sukhun se iflaas
kitna aaraasta vo atlas-o-banaat se tha
मुझ से मुख़्लिस था न वाक़िफ़ मिरे जज़्बात से था
उस का रिश्ता तो फ़क़त अपने मफ़ादात से था
अब जो बिछड़ा है तो क्या रोएँ जुदाई पे तिरी
यही अंदेशा हमें पहली मुलाक़ात से था
दिल के बुझने का हवाओं से गिला क्या करना
ये दिया नज़्अ' के आलम में तो कल रात से था
मरकज़-ए-शहर में रहने पे मुसिर थी ख़िल्क़त
और मैं वाबस्ता तिरे दिल के मज़ाफ़ात से था
मैं ख़राबों का मकीं और तअ'ल्लुक़ मेरा
तेरे नाते कभी ख़्वाबों के महल्लात से था
लब-कुशाई पे खुला उस के सुख़न से इफ़्लास
कितना आरास्ता वो अत्लस-ओ-बानात से था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aitbar Sajid
our suggestion based on Aitbar Sajid
As you were reading Relationship Shayari Shayari