ye kya haalat bana rakhi hai ye aasaar kaise hain | ये क्या हालत बना रक्खी है ये आसार कैसे हैं

  - Aitbar Sajid

ye kya haalat bana rakhi hai ye aasaar kaise hain
bahut achcha-bhala chhodaa tha ab beemaar kaise

vo mujh se poochne aayi hai kuchh likkha nahin mujh par
main us ko kaise samjhaaoon mere ashaar kaise hain

meri sochen hain kaisi kaun in sochon ka markaz hai
jo mere zehan mein palte hain vo afkaar kaise hain

mere dil ka alaavon aaj tak dekha nahin jis ne
vo kya jaane ki sholay soorat-e-izhaar kaise hain

ye mantiq kaun samjhega ki yakh-kamre ki thandak mein
mere alfaaz ke malboos shola-baar kaise hain

zara si ek farmaaish bhi poori kar nahin sakte
mohabbat karne waale log bhi laachaar kaise hain

judaai kis tarah bartaav ham logon se karti hai
mizaajan ham-sukhanvar be-dil-o-be-zaar kaise hain

ये क्या हालत बना रक्खी है ये आसार कैसे हैं
बहुत अच्छा-भला छोड़ा था अब बीमार कैसे

वो मुझ से पूछने आई है कुछ लिक्खा नहीं मुझ पर
मैं उस को कैसे समझाऊँ मिरे अशआ'र कैसे हैं

मिरी सोचें हैं कैसी कौन इन सोचों का मरकज़ है
जो मेरे ज़ेहन में पलते हैं वो अफ़्कार कैसे हैं

मिरे दिल का अलावों आज तक देखा नहीं जिस ने
वो क्या जाने कि शो'ले सूरत-ए-इज़हार कैसे हैं

ये मंतिक़ कौन समझेगा कि यख़-कमरे की ठंडक में
मिरे अल्फ़ाज़ के मल्बूस शो'ला-बार कैसे हैं

ज़रा सी एक फ़रमाइश भी पूरी कर नहीं सकते
मोहब्बत करने वाले लोग भी लाचार कैसे हैं

जुदाई किस तरह बरताव हम लोगों से करती है
मिज़ाजन हम-सुख़नवर बे-दिल-ओ-बे-ज़ार कैसे हैं

  - Aitbar Sajid

Raksha bandhan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aitbar Sajid

As you were reading Shayari by Aitbar Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Aitbar Sajid

Similar Moods

As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari