tumhaara aise ghar jaana bahut takleef deta hai | तुम्हारा ऐसे घर जाना बहुत तकलीफ़ देता है - Abdullah Minhaj khan

tumhaara aise ghar jaana bahut takleef deta hai
ladai ham se kar jaana bahut takleef deta hai

bazaahir ishq ka izhaar kar to leti hai lekin
magar us ka mukar jaana bahut takleef deta hai

vo jis ne mujh ko har ik mod pe aakar sambhaala hai
ab us ka yun bikhar jaana bahut takleef deta hai

bulandi se utar kar koii bhi marta nahin lekin
nigaahon se utar jaana bahut takleef deta hai

jahaan se chal ke meelon aa gaye hain soo-e-manzil ham
palat kar phir udhar jaana bahut takleef deta hai

kisi se ishq mein minhaj dushwaari nahin lekin
magar had se guzar jaana bahut takleef deta hai

तुम्हारा ऐसे घर जाना बहुत तकलीफ़ देता है
लड़ाई हम से कर जाना बहुत तकलीफ़ देता है

बज़ाहिर इश्क़ का इज़हार कर तो लेती है लेकिन
मगर उस का मुकर जाना बहुत तकलीफ़ देता है

वो जिस ने मुझ को हर इक मोड़ पे आकर सँभाला है
अब उस का यूँ बिखर जाना बहुत तकलीफ़ देता है

बुलंदी से उतर कर कोई भी मरता नहीं लेकिन
निगाहों से उतर जाना बहुत तकलीफ़ देता है

जहाँ से चल के मीलों आ गए हैं सू-ए-मंज़िल हम
पलट कर फिर उधर जाना बहुत तकलीफ़ देता है

किसी से इश्क़ में मिनहाज दुश्वारी नहीं लेकिन
मगर हद से गुज़र जाना बहुत तकलीफ़ देता है

- Abdullah Minhaj khan
0 Likes

More by Abdullah Minhaj khan

As you were reading Shayari by Abdullah Minhaj khan

Similar Writers

our suggestion based on Abdullah Minhaj khan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari