mohabbat mere jeene ka sahaara ho to achha hai | मोहब्बत मेरे जीने का सहारा हो तो अच्छा है - Abdullah Minhaj khan

mohabbat mere jeene ka sahaara ho to achha hai
ye dil un kii nigaahon ka nazaara ho to achha hai

bazaahir to mulaqaatein tumhaari ham se hoti hain
tumhaara har ghadi ham ko ishaara ho to achha hai

badal jaayen jo ik pal mein kabhi bhi raas na aayein
to aise doston se bhi kinaara ho to achha hai

hamaare jaise the ahbaab jaisi un kii baatein theen
hamaara bhi unhin jaisa nazaara ho to achha hai

ham apne dushmanon ko bhi sada khush-haal rakhte hain
hamaara chahe gurbat mein guzaara ho to achha hai

mohabbat aisi shay hai jis ko ham kuchh kah nahin sakte
phir is ke badle mein chahe khasaara ho to achha hai

wafa kii raah par minhaj chalte jaayenge lekin
bulandi par muqaddar ka sitaara ho to achha hai

मोहब्बत मेरे जीने का सहारा हो तो अच्छा है
ये दिल उन की निगाहों का नज़ारा हो तो अच्छा है

बज़ाहिर तो मुलाक़ातें तुम्हारी हम से होती हैं
तुम्हारा हर घड़ी हम को इशारा हो तो अच्छा है

बदल जाएँ जो इक पल में कभी भी रास न आएँ
तो ऐसे दोस्तों से भी किनारा हो तो अच्छा है

हमारे जैसे थे अहबाब जैसी उन की बातें थीं
हमारा भी उन्हीं जैसा नज़ारा हो तो अच्छा है

हम अपने दुश्मनों को भी सदा ख़ुश-हाल रखते हैं
हमारा चाहे ग़ुर्बत में गुज़ारा हो तो अच्छा है

मोहब्बत ऐसी शय है जिस को हम कुछ कह नहीं सकते
फिर इस के बदले में चाहे ख़सारा हो तो अच्छा है

वफ़ा की राह पर मिनहाज चलते जाएँगे लेकिन
बुलंदी पर मुक़द्दर का सितारा हो तो अच्छा है

- Abdullah Minhaj khan
0 Likes

More by Abdullah Minhaj khan

As you were reading Shayari by Abdullah Minhaj khan

Similar Writers

our suggestion based on Abdullah Minhaj khan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari