aah jo dil se nikaali jaayegi
kya samjhte ho ki khaali jaayegi
is nazaakat par ye shamsher-e-jafa
aap se kyunkar sambhaali jaayegi
kya gham-e-duniya ka dar mujh rind ko
aur ik bottle chadha li jaayegi
shaikh ki daawat mein may ka kaam kya
ehtiyaatan kuchh manga li jaayegi
yaad-e-abroo mein hai akbar mahav yun
kab tiri ye kaj-khayaali jaayegi
आह जो दिल से निकाली जाएगी
क्या समझते हो कि ख़ाली जाएगी
इस नज़ाकत पर ये शमशीर-ए-जफ़ा
आप से क्यूँकर सँभाली जाएगी
क्या ग़म-ए-दुनिया का डर मुझ रिंद को
और इक बोतल चढ़ा ली जाएगी
शैख़ की दावत में मय का काम क्या
एहतियातन कुछ मँगा ली जाएगी
याद-ए-अबरू में है 'अकबर' महव यूँ
कब तिरी ये कज-ख़याली जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Afsos Shayari Shayari