aaj aaraish-e-gesoo-e-dota hoti hai
phir meri jaan giraftaar-e-bala hoti hai
shauq-e-pa-bosi-e-jaanaan mujhe baaki hai hanooz
ghaas jo ugati hai turbat pe hina hoti hai
phir kisi kaam ka baaki nahin rehta insaan
sach to ye hai ki mohabbat bhi bala hoti hai
jo zameen koocha-e-qaatil mein nikalti hai nayi
waqf vo bahr-e-mazaar-e-shohda hoti hai
jis ne dekhi ho vo chitwan koi us se pooche
jaan kyoon-kar hadaf-e-teer-e-qazaa hoti hai
naz'a ka waqt bura waqt hai khaaliq ki panaah
hai vo sa'at ki qayamat se siva hoti hai
rooh to ek taraf hoti hai ruksat tan se
aarzoo ek taraf dil se juda hoti hai
khud samajhta hoon ki rone se bhala kya haasil
par karoon kya yoonhi taskin zara hoti hai
raundte firte hain vo majma-e-aghyaar ke saath
khoob tauqeer-e-mazaar-e-shohda hoti hai
murgh-e-bismil ki tarah lot gaya dil mera
nigah-e-naaz ki taaseer bhi kya hoti hai
naala kar lene den lillaah na chheden ahbaab
zabt karta hoon to takleef siva hoti hai
jism to khaak mein mil jaate hue dekhte hain
rooh kya jaane kidhar jaati hai kya hoti hai
hoon fareb-e-sitam-e-yaar ka qaail akbar
marte marte na khula ye ki jafaa hoti hai
आज आराइश-ए-गेसू-ए-दोता होती है
फिर मिरी जान गिरफ़्तार-ए-बला होती है
शौक़-ए-पा-बोसी-ए-जानाँ मुझे बाक़ी है हनूज़
घास जो उगती है तुर्बत पे हिना होती है
फिर किसी काम का बाक़ी नहीं रहता इंसाँ
सच तो ये है कि मोहब्बत भी बला होती है
जो ज़मीं कूचा-ए-क़ातिल में निकलती है नई
वक़्फ़ वो बहर-ए-मज़ार-ए-शोहदा होती है
जिस ने देखी हो वो चितवन कोई उस से पूछे
जान क्यूँ-कर हदफ़-ए-तीर-ए-क़ज़ा होती है
नज़्अ' का वक़्त बुरा वक़्त है ख़ालिक़ की पनाह
है वो साअ'त कि क़यामत से सिवा होती है
रूह तो एक तरफ़ होती है रुख़्सत तन से
आरज़ू एक तरफ़ दिल से जुदा होती है
ख़ुद समझता हूँ कि रोने से भला क्या हासिल
पर करूँ क्या यूँही तस्कीन ज़रा होती है
रौंदते फिरते हैं वो मजमा-ए-अग़्यार के साथ
ख़ूब तौक़ीर-ए-मज़ार-ए-शोहदा होती है
मुर्ग़-ए-बिस्मिल की तरह लोट गया दिल मेरा
निगह-ए-नाज़ की तासीर भी क्या होती है
नाला कर लेने दें लिल्लाह न छेड़ें अहबाब
ज़ब्त करता हूँ तो तकलीफ़ सिवा होती है
जिस्म तो ख़ाक में मिल जाते हुए देखते हैं
रूह क्या जाने किधर जाती है क्या होती है
हूँ फ़रेब-ए-सितम-ए-यार का क़ाइल 'अकबर'
मरते मरते न खुला ये कि जफ़ा होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Love Shayari Shayari