hangaama hai kyun barpa thodi si jo pee li hai | हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है - Akbar Allahabadi

hangaama hai kyun barpa thodi si jo pee li hai
daaka to nahin maara chori to nahin ki hai

na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein
is rang ko kya jaane poocho to kabhi pee hai

us may se nahin matlab dil jis se hai begaana
maqsood hai us may se dil hi mein jo khinchti hai

ai shauq wahi may pee ai hosh zara so ja
mehmaan-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai

waan dil mein ki sadme do yaa jee mein ki sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jee hai

har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se
har saans ye kahti hai ham hain to khuda bhi hai

suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai

taaleem ka shor aisa tahzeeb ka ghul itna
barkat jo nahin hoti niyyat ki kharaabi hai

sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim
haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
डाका तो नहीं मारा चोरी तो नहीं की है

ना-तजरबा-कारी से वाइ'ज़ की ये हैं बातें
इस रंग को क्या जाने पूछो तो कभी पी है

उस मय से नहीं मतलब दिल जिस से है बेगाना
मक़्सूद है उस मय से दिल ही में जो खिंचती है

ऐ शौक़ वही मय पी ऐ होश ज़रा सो जा
मेहमान-ए-नज़र इस दम एक बर्क़-ए-तजल्ली है

वाँ दिल में कि सदमे दो याँ जी में कि सब सह लो
उन का भी अजब दिल है मेरा भी अजब जी है

हर ज़र्रा चमकता है अनवार-ए-इलाही से
हर साँस ये कहती है हम हैं तो ख़ुदा भी है

सूरज में लगे धब्बा फ़ितरत के करिश्मे हैं
बुत हम को कहें काफ़िर अल्लाह की मर्ज़ी है

तालीम का शोर ऐसा तहज़ीब का ग़ुल इतना
बरकत जो नहीं होती निय्यत की ख़राबी है

सच कहते हैं शैख़ 'अकबर' है ताअत-ए-हक़ लाज़िम
हाँ तर्क-ए-मय-ओ-शाहिद ये उन की बुज़ुर्गी है

- Akbar Allahabadi
3 Likes

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari