ummeed tooti hui hai meri jo dil mera tha vo mar chuka hai | उम्मीद टूटी हुई है मेरी जो दिल मिरा था वो मर चुका है

  - Akbar Allahabadi

ummeed tooti hui hai meri jo dil mera tha vo mar chuka hai
jo zindagaani ko talkh kar de vo waqt mujh par guzar chuka hai

agarche seene mein saans bhi hai nahin tabeeyat mein jaan baaki
ajal ko hai der ik nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai

ghareeb-khaane ki ye udaasi ye naa-durusti nahin qadeemi
chahal pehal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai

ye seena jis mein ye daagh mein ab masarraton ka kabhi tha makhzan
vo dil jo armaan se bhara tha khushi se us mein thehar chuka hai

gareeb akbar ke gard kyun mein khayal wa'iz se koi kah de
use daraate ho maut se kya vo zindagi hi se dar chuka hai

उम्मीद टूटी हुई है मेरी जो दिल मिरा था वो मर चुका है
जो ज़िंदगानी को तल्ख़ कर दे वो वक़्त मुझ पर गुज़र चुका है

अगरचे सीने में साँस भी है नहीं तबीअत में जान बाक़ी
अजल को है देर इक नज़र की फ़लक तो काम अपना कर चुका है

ग़रीब-ख़ाने की ये उदासी ये ना-दुरुस्ती नहीं क़दीमी
चहल पहल भी कभी यहाँ थी कभी ये घर भी सँवर चुका है

ये सीना जिस में ये दाग़ में अब मसर्रतों का कभी था मख़्ज़न
वो दिल जो अरमान से भरा था ख़ुशी से उस में ठहर चुका है

ग़रीब अकबर के गर्द क्यूँ में ख़याल वाइ'ज़ से कोई कह दे
उसे डराते हो मौत से क्या वो ज़िंदगी ही से डर चुका है

  - Akbar Allahabadi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari