unhen nigaah hai apne jamaal hi ki taraf | उन्हें निगाह है अपने जमाल ही की तरफ़

  - Akbar Allahabadi

unhen nigaah hai apne jamaal hi ki taraf
nazar utha ke nahin dekhte kisi ki taraf

tavajjoh apni ho kya fann-e-shaairi ki taraf
nazar har ek ki jaati hai aib hi ki taraf

likha hua hai jo rona mere muqaddar mein
khayal tak nahin jaata kabhi hasi ki taraf

tumhaara saaya bhi jo log dekh lete hain
vo aankh utha ke nahin dekhte pari ki taraf

bala mein fansata hai dil muft jaan jaati hai
khuda kisi ko na le jaaye us gali ki taraf

kabhi jo hoti hai takraar gair se ham se
to dil se hote ho dar-parda tum usi ki taraf

nigaah padti hai un par tamaam mehfil ki
vo aankh utha ke nahin dekhte kisi ki taraf

nigaah us but-e-khud-been ki hai mere dil par
na aaine ki taraf hai na aarsi ki taraf

qubool kijie lillaah tohfa-e-dil ko
nazar na kijie is ki shikastagi ki taraf

yahi nazar hai jo ab qaatil-e-zamaana hui
yahi nazar hai ki uthati na thi kisi ki taraf

ghareeb-khaana mein lillaah do-ghadi baitho
bahut dinon mein tum aaye ho is gali ki taraf

zara si der hi ho jaayegi to kya hoga
ghadi ghadi na uthao nazar ghadi ki taraf

jo ghar mein pooche koi khauf kya hai kah dena
chale gaye the tahalte hue kisi ki taraf

hazaar jalwa-e-husn-e-butaan ho ai akbar
tum apna dhyaan lagaaye raho usi ki taraf

उन्हें निगाह है अपने जमाल ही की तरफ़
नज़र उठा के नहीं देखते किसी की तरफ़

तवज्जोह अपनी हो क्या फ़न्न-ए-शाइरी की तरफ़
नज़र हर एक की जाती है ऐब ही की तरफ़

लिखा हुआ है जो रोना मिरे मुक़द्दर में
ख़याल तक नहीं जाता कभी हँसी की तरफ़

तुम्हारा साया भी जो लोग देख लेते हैं
वो आँख उठा के नहीं देखते परी की तरफ़

बला में फँसता है दिल मुफ़्त जान जाती है
ख़ुदा किसी को न ले जाए उस गली की तरफ़

कभी जो होती है तकरार ग़ैर से हम से
तो दिल से होते हो दर-पर्दा तुम उसी की तरफ़

निगाह पड़ती है उन पर तमाम महफ़िल की
वो आँख उठा के नहीं देखते किसी की तरफ़

निगाह उस बुत-ए-ख़ुद-बीं की है मिरे दिल पर
न आइने की तरफ़ है न आरसी की तरफ़

क़ुबूल कीजिए लिल्लाह तोहफ़ा-ए-दिल को
नज़र न कीजिए इस की शिकस्तगी की तरफ़

यही नज़र है जो अब क़ातिल-ए-ज़माना हुई
यही नज़र है कि उठती न थी किसी की तरफ़

ग़रीब-ख़ाना में लिल्लाह दो-घड़ी बैठो
बहुत दिनों में तुम आए हो इस गली की तरफ़

ज़रा सी देर ही हो जाएगी तो क्या होगा
घड़ी घड़ी न उठाओ नज़र घड़ी की तरफ़

जो घर में पूछे कोई ख़ौफ़ क्या है कह देना
चले गए थे टहलते हुए किसी की तरफ़

हज़ार जल्वा-ए-हुस्न-ए-बुताँ हो ऐ 'अकबर'
तुम अपना ध्यान लगाए रहो उसी की तरफ़

  - Akbar Allahabadi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari