bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar ham par bhi | बहुत रहा है कभी लुत्फ़-ए-यार हम पर भी

  - Akbar Allahabadi

bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar ham par bhi
guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar ham par bhi

uroos-e-dehr ko aaya tha pyaar ham par bhi
ye beswa thi kisi shab nisaar ham par bhi

bitha chuka hai zamaana hamein bhi masnad par
hua kiye hain jawaahir nisaar ham par bhi

adoo ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz
to fakhr kya jo hua etibaar ham par bhi

khata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zabaan
to ho hi jaate hain do ek vaar ham par bhi

ham aise rind magar ye zamaana hai vo gazab
ki daal hi diya duniya ka baar ham par bhi

hamein bhi aatish-e-ulfat jala chuki akbar
haraam ho gai dozakh ki naar ham par bhi

बहुत रहा है कभी लुत्फ़-ए-यार हम पर भी
गुज़र चुकी है ये फ़स्ल-ए-बहार हम पर भी

उरूस-ए-दहर को आया था प्यार हम पर भी
ये बेसवा थी किसी शब निसार हम पर भी

बिठा चुका है ज़माना हमें भी मसनद पर
हुआ किए हैं जवाहिर निसार हम पर भी

अदू को भी जो बनाया है तुम ने महरम-ए-राज़
तो फ़ख़्र क्या जो हुआ एतिबार हम पर भी

ख़ता किसी की हो लेकिन खुली जो उन की ज़बाँ
तो हो ही जाते हैं दो एक वार हम पर भी

हम ऐसे रिंद मगर ये ज़माना है वो ग़ज़ब
कि डाल ही दिया दुनिया का बार हम पर भी

हमें भी आतिश-ए-उल्फ़त जला चुकी 'अकबर'
हराम हो गई दोज़ख़ की नार हम पर भी

  - Akbar Allahabadi

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari