apne pahluu se vo ghairoon ko utha hi na sake | अपने पहलू से वो ग़ैरों को उठा ही न सके

  - Akbar Allahabadi

apne pahluu se vo ghairoon ko utha hi na sake
un ko ham qissa-e-gham apna suna hi na sake

zehan mera vo qayamat ki do-aalam pe muheet
aap aise ki mere zehan mein aa hi na sake

dekh lete jo unhen to mujhe rakhte ma'zoor
shaikh-saahib magar us bazm mein ja hi na sake

aql mahangi hai bahut ishq khilaaf-e-tahzeeb
dil ko is ahad mein ham kaam mein la hi na sake

ham to khud chahte the chain se baitheen koi dam
aap ki yaad magar dil se bhula hi na sake

ishq kaamil hai usi ka ki patangon ki tarah
taab nazzaara-e-maashooq ki la hi na sake

daam-e-hasti ki bhi tarkeeb ajab rakhi hai
jo fanse us mein vo phir jaan bacha hi na sake

mazhar-e-jalwa-e-jaanaan hai har ik shay akbar
be-adab aankh kisi samt utha hi na sake

aisi mantiq se to deewaangi behtar akbar
ki jo khaaliq ki taraf dil ko jhuka hi na sake

अपने पहलू से वो ग़ैरों को उठा ही न सके
उन को हम क़िस्सा-ए-ग़म अपना सुना ही न सके

ज़ेहन मेरा वो क़यामत कि दो-आलम पे मुहीत
आप ऐसे कि मिरे ज़ेहन में आ ही न सके

देख लेते जो उन्हें तो मुझे रखते मअज़ूर
शैख़-साहिब मगर उस बज़्म में जा ही न सके

अक़्ल महँगी है बहुत इश्क़ ख़िलाफ़-ए-तहज़ीब
दिल को इस अहद में हम काम में ला ही न सके

हम तो ख़ुद चाहते थे चैन से बैठें कोई दम
आप की याद मगर दिल से भुला ही न सके

इश्क़ कामिल है उसी का कि पतंगों की तरह
ताब नज़्ज़ारा-ए-माशूक़ की ला ही न सके

दाम-ए-हस्ती की भी तरकीब अजब रक्खी है
जो फँसे उस में वो फिर जान बचा ही न सके

मज़हर-ए-जल्वा-ए-जानाँ है हर इक शय 'अकबर'
बे-अदब आँख किसी सम्त उठा ही न सके

ऐसी मंतिक़ से तो दीवानगी बेहतर 'अकबर'
कि जो ख़ालिक़ की तरफ़ दिल को झुका ही न सके

  - Akbar Allahabadi

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari