apni girah se kuchh na mujhe aap deejie | अपनी गिरह से कुछ न मुझे आप दीजिए

  - Akbar Allahabadi

apni girah se kuchh na mujhe aap deejie
akhbaar mein to naam mera chaap deejie

dekho jise vo pioneer office mein hai data
bahr-e-khuda mujhe bhi kahi chaap deejie

chashm-e-jahaan se haalat-e-asli chhupi nahin
akhbaar mein jo chahiye vo chaap deejie

da'wa bahut bada hai riyaazi mein aap ko
tool-e-shab-e-firaq ko to naap deejie

sunte nahin hain shaikh nayi raushni ki baat
engine ki un ke kaan mein ab bhaap deejie

is but ke dar pe gair se akbar ne kah diya
zar hi main dene laaya hoon jaan aap deejie

अपनी गिरह से कुछ न मुझे आप दीजिए
अख़बार में तो नाम मिरा छाप दीजिए

देखो जिसे वो पाइनियर ऑफ़िस में है डटा
बहर-ए-ख़ुदा मुझे भी कहीं छाप दीजिए

चश्म-ए-जहाँ से हालत-ए-असली छुपी नहीं
अख़बार में जो चाहिए वो छाप दीजिए

दा'वा बहुत बड़ा है रियाज़ी में आप को
तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ को तो नाप दीजिए

सुनते नहीं हैं शैख़ नई रौशनी की बात
इंजन की उन के कान में अब भाप दीजिए

इस बुत के दर पे ग़ैर से 'अकबर' ने कह दिया
ज़र ही मैं देने लाया हूँ जान आप दीजिए

  - Akbar Allahabadi

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari