tareeq-e-ishq mein mujh ko koi kaamil nahin milta | तरीक़-ए-इश्क़ में मुझ को कोई कामिल नहीं मिलता

  - Akbar Allahabadi

tareeq-e-ishq mein mujh ko koi kaamil nahin milta
gaye farhaad o majnoon ab kisi se dil nahin milta

bhari hai anjuman lekin kisi se dil nahin milta
humeen mein aa gaya kuchh naqs ya kaamil nahin milta

puraani raushni mein aur nayi mein farq itna hai
use kashti nahin milti ise saahil nahin milta

pahunchana daad ko mazloom ka mushkil hi hota hai
kabhi qaazi nahin milte kabhi qaateel nahin milta

hareefon par khazaane hain khule yaa hijr-e-gesoo hai
wahan pe bill hai aur yaa saanp ka bhi bill nahin milta

ye husn o ishq hi ka kaam hai shubh karein kis par
mizaaj un ka nahin milta hamaara dil nahin milta

chhupa hai seena o rukh dil-sitaan haathon se karvat mein
mujhe sote mein bhi vo husn se ghaafil nahin milta

hawas-o-hosh gum hain bahr-e-irfaan-e-ilaahi mein
yahi dariya hai jis mein mauj ko saahil nahin milta

kitaab-e-dil mujhe kaafi hai akbar dars-e-hikmat ko
main spencer se mustaghni hoon mujh se mil nahin milta

तरीक़-ए-इश्क़ में मुझ को कोई कामिल नहीं मिलता
गए फ़रहाद ओ मजनूँ अब किसी से दिल नहीं मिलता

भरी है अंजुमन लेकिन किसी से दिल नहीं मिलता
हमीं में आ गया कुछ नक़्स या कामिल नहीं मिलता

पुरानी रौशनी में और नई में फ़र्क़ इतना है
उसे कश्ती नहीं मिलती इसे साहिल नहीं मिलता

पहुँचना दाद को मज़लूम का मुश्किल ही होता है
कभी क़ाज़ी नहीं मिलते कभी क़ातिल नहीं मिलता

हरीफ़ों पर ख़ज़ाने हैं खुले याँ हिज्र-ए-गेसू है
वहाँ पे बिल है और याँ साँप का भी बिल नहीं मिलता

ये हुस्न ओ इश्क़ ही का काम है शुबह करें किस पर
मिज़ाज उन का नहीं मिलता हमारा दिल नहीं मिलता

छुपा है सीना ओ रुख़ दिल-सिताँ हाथों से करवट में
मुझे सोते में भी वो हुस्न से ग़ाफ़िल नहीं मिलता

हवास-ओ-होश गुम हैं बहर-ए-इरफ़ान-ए-इलाही में
यही दरिया है जिस में मौज को साहिल नहीं मिलता

किताब-ए-दिल मुझे काफ़ी है 'अकबर' दर्स-ए-हिकमत को
मैं स्पेन्सर से मुस्तग़नी हूँ मुझ से मिल नहीं मिलता

  - Akbar Allahabadi

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari