phir gai aap ki do din mein tabi'at kaisi | फिर गई आप की दो दिन में तबीअ'त कैसी - Akbar Allahabadi

phir gai aap ki do din mein tabi'at kaisi
ye wafa kaisi thi sahab ye muravvat kaisi

dost ahbaab se hans bol ke kat jaayegi raat
rind-e-aazaad hain hum ko shab-e-furqat kaisi

jis haseen se hui ulfat wahi maashooq apna
ishq kis cheez ko kahte hain tabi'at kaisi

hai jo qismat mein wahi hoga na kuch kam na siva
aarzoo kahte hain kis cheez ko hasrat kaisi

haal khulta nahin kuch dil ke dhadkane ka mujhe
aaj rah rah ke bhar aati hai tabi'at kaisi

koocha-e-yaar mein jaata to nazaara karta
qais aawaara hai jungle mein ye vehshat kaisi

फिर गई आप की दो दिन में तबीअ'त कैसी
ये वफ़ा कैसी थी साहब ये मुरव्वत कैसी

दोस्त अहबाब से हँस बोल के कट जाएगी रात
रिंद-ए-आज़ाद हैं हम को शब-ए-फ़ुर्क़त कैसी

जिस हसीं से हुई उल्फ़त वही माशूक़ अपना
इश्क़ किस चीज़ को कहते हैं तबीअ'त कैसी

है जो क़िस्मत में वही होगा न कुछ कम न सिवा
आरज़ू कहते हैं किस चीज़ को हसरत कैसी

हाल खुलता नहीं कुछ दिल के धड़कने का मुझे
आज रह रह के भर आती है तबीअ'त कैसी

कूचा-ए-यार में जाता तो नज़ारा करता
क़ैस आवारा है जंगल में ये वहशत कैसी

- Akbar Allahabadi
0 Likes

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari