maani ko bhula deti hai soorat hai to ye hai | मा'नी को भुला देती है सूरत है तो ये है

  - Akbar Allahabadi

maani ko bhula deti hai soorat hai to ye hai
nature bhi sabq seekh le zeenat hai to ye hai

kamre mein jo hansati hui aayi mis-e-raana
teacher ne kaha ilm ki aafat hai to ye hai

ye baat to achhi hai ki ulfat ho miso se
hoor un ko samjhte hain qayamat hai to ye hai

pecheeda masaail ke liye jaate hain england
zulfon mein uljh aate hain shaamat hai to ye hai

public mein zara haath mila leejie mujh se
sahab mere eimaan ki qeemat hai to ye hai

मा'नी को भुला देती है सूरत है तो ये है
नेचर भी सबक़ सीख ले ज़ीनत है तो ये है

कमरे में जो हँसती हुई आई मिस-ए-राना
टीचर ने कहा इल्म की आफ़त है तो ये है

ये बात तो अच्छी है कि उल्फ़त हो मिसों से
हूर उन को समझते हैं क़यामत है तो ये है

पेचीदा मसाइल के लिए जाते हैं इंग्लैण्ड
ज़ुल्फ़ों में उलझ आते हैं शामत है तो ये है

पब्लिक में ज़रा हाथ मिला लीजिए मुझ से
साहब मिरे ईमान की क़ीमत है तो ये है

  - Akbar Allahabadi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari