gale lagaayein karein pyaar tum ko eed ke din | गले लगाएँ करें प्यार तुम को ईद के दिन

  - Akbar Allahabadi

gale lagaayein karein pyaar tum ko eed ke din
idhar to aao mere gul-ezaar eed ke din

gazab ka husn hai aaraaishen qayamat ki
ayaan hai qudrat-e-parwardigaar eed ke din

sambhal saki na tabi'at kisi tarah meri
raha na dil pe mujhe ikhtiyaar eed ke din

vo saal bhar se kudoorat bhari jo thi dil mein
vo door ho gai bas ek baar eed ke din

laga liya unhen seene se josh-e-ulfat mein
garz ki aa hi gaya mujh ko pyaar eed ke din

kahi hai naghma-e-bulbul kahi hai khanda-e-gul
ayaan hai josh-e-shabaab-e-bahaar eed ke din

sivayyaan doodh shakar meva sab muhayya hai
magar ye sab hai mujhe naagawaar eed ke din

mile agar lab-e-sheereen ka tere ik bosa
to lutf ho mujhe albatta yaar eed ke din

गले लगाएँ करें प्यार तुम को ईद के दिन
इधर तो आओ मिरे गुल-एज़ार ईद के दिन

ग़ज़ब का हुस्न है आराइशें क़यामत की
अयाँ है क़ुदरत-ए-परवरदिगार ईद के दिन

सँभल सकी न तबीअ'त किसी तरह मेरी
रहा न दिल पे मुझे इख़्तियार ईद के दिन

वो साल भर से कुदूरत भरी जो थी दिल में
वो दूर हो गई बस एक बार ईद के दिन

लगा लिया उन्हें सीने से जोश-ए-उल्फ़त में
ग़रज़ कि आ ही गया मुझ को प्यार ईद के दिन

कहीं है नग़्मा-ए-बुलबुल कहीं है ख़ंदा-ए-गुल
अयाँ है जोश-ए-शबाब-ए-बहार ईद के दिन

सिवय्याँ दूध शकर मेवा सब मुहय्या है
मगर ये सब है मुझे नागवार ईद के दिन

मिले अगर लब-ए-शीरीं का तेरे इक बोसा
तो लुत्फ़ हो मुझे अलबत्ता यार ईद के दिन

  - Akbar Allahabadi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari