saans lete hue bhi darta hoon
ye na samjhen ki aah karta hoon
bahr-e-hasti mein hoon misaal-e-habaab
mit hi jaata hoon jab ubharta hoon
itni aazaadi bhi ghaneemat hai
saans leta hoon baat karta hoon
shaikh sahab khuda se darte hon
main to angreizon hi se darta hoon
aap kya poochte hain mera mizaaj
shukr allah ka hai marta hoon
ye bada aib mujh mein hai akbar
dil mein jo aaye kah guzarta hoon
साँस लेते हुए भी डरता हूँ
ये न समझें कि आह करता हूँ
बहर-ए-हस्ती में हूँ मिसाल-ए-हबाब
मिट ही जाता हूँ जब उभरता हूँ
इतनी आज़ादी भी ग़नीमत है
साँस लेता हूँ बात करता हूँ
शैख़ साहब ख़ुदा से डरते हों
मैं तो अंग्रेज़ों ही से डरता हूँ
आप क्या पूछते हैं मेरा मिज़ाज
शुक्र अल्लाह का है मरता हूँ
ये बड़ा ऐब मुझ में है 'अकबर'
दिल में जो आए कह गुज़रता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Dil Shayari Shayari