duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
bazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
zinda hoon magar zeest ki lazzat nahin baaki
har-chand ki hoon hosh mein hushyaar nahin hoon
is khaana-e-hasti se guzar jaaunga be-laus
saaya hoon faqat naqsh-b-deewaar nahin hoon
afsurda hoon ibarat se dava ki nahin haajat
gham ka mujhe ye zof hai beemaar nahin hoon
vo gul hoon khizaan ne jise barbaad kiya hai
uljhoon kisi daaman se main vo khaar nahin hoon
ya rab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se
main us ki inaayat ka talabgaar nahin hoon
go daava-e-taqva nahin dargaah-e-khuda mein
but jis se hon khush aisa gunahgaar nahin hoon
afsurdagi o zof ki kuchh had nahin akbar
kaafir ke muqaabil mein bhi deen-daar nahin hoon
दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ
बाज़ार से गुज़रा हूँ ख़रीदार नहीं हूँ
ज़िंदा हूँ मगर ज़ीस्त की लज़्ज़त नहीं बाक़ी
हर-चंद कि हूँ होश में हुश्यार नहीं हूँ
इस ख़ाना-ए-हस्ती से गुज़र जाऊँगा बे-लौस
साया हूँ फ़क़त नक़्श-ब-दीवार नहीं हूँ
अफ़्सुर्दा हूँ इबरत से दवा की नहीं हाजत
ग़म का मुझे ये ज़ोफ़ है बीमार नहीं हूँ
वो गुल हूँ ख़िज़ाँ ने जिसे बर्बाद किया है
उलझूँ किसी दामन से मैं वो ख़ार नहीं हूँ
या रब मुझे महफ़ूज़ रख उस बुत के सितम से
मैं उस की इनायत का तलबगार नहीं हूँ
गो दावा-ए-तक़्वा नहीं दरगाह-ए-ख़ुदा में
बुत जिस से हों ख़ुश ऐसा गुनहगार नहीं हूँ
अफ़्सुर्दगी ओ ज़ोफ़ की कुछ हद नहीं 'अकबर'
काफ़िर के मुक़ाबिल में भी दीं-दार नहीं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Khuda Shayari Shayari