ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota | ग़म्ज़ा नहीं होता कि इशारा नहीं होता - Akbar Allahabadi

ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota
aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota

jalwa na ho maani ka to soorat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka shaida nahin hota

allah bachaaye marz-e-ishq se dil ko
sunte hain ki ye aariza achha nahin hota

tashbeeh tire chehre ko kya doon gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota

main naz'a mein hoon aayein to ehsaan hai un ka
lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota

hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota

ग़म्ज़ा नहीं होता कि इशारा नहीं होता
आँख उन से जो मिलती है तो क्या क्या नहीं होता

जल्वा न हो मा'नी का तो सूरत का असर क्या
बुलबुल गुल-ए-तस्वीर का शैदा नहीं होता

अल्लाह बचाए मरज़-ए-इश्क़ से दिल को
सुनते हैं कि ये आरिज़ा अच्छा नहीं होता

तश्बीह तिरे चेहरे को क्या दूँ गुल-ए-तर से
होता है शगुफ़्ता मगर इतना नहीं होता

मैं नज़्अ में हूँ आएँ तो एहसान है उन का
लेकिन ये समझ लें कि तमाशा नहीं होता

हम आह भी करते हैं तो हो जाते हैं बदनाम
वो क़त्ल भी करते हैं तो चर्चा नहीं होता

- Akbar Allahabadi
1 Like

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari