agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota | अगर दिल वाक़िफ़-ए-नैरंगी-ए-तब-ए-सनम होता

  - Akbar Allahabadi

agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota
zamaane ki do-rangi ka use hargiz na gham hota

ye paaband-e-museebat dil ke haathon ham to rahte hain
nahin to chain se kattee na dil hota na gham hota

unhin ki be-wafaai ka ye hai aathon-pahar sadma
wahi hote jo qaabu mein to phir kahe ko gham hota

lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne paate kahi sha'ir
koi sheerin-sukhan hota koi jaadoo-raqam hota

bahut achha hua aaye na vo meri ayaadat ko
jo vo aate to gair aate jo gair aate to gham hota

agar qabren nazar aati na daara-o-sikandar ki
mujhe bhi ishtiyaq-e-daulat-o-jaah-o-hashm hota

liye jaata hai josh-e-shauq ham ko raah-e-ulfat mein
nahin to zof se dushwaar chalna do-qadam hota

na rahne paaye deewaron mein rozan shukr hai warna
tumhein to dil-lagi hoti ghareebon par sitam hota

अगर दिल वाक़िफ़-ए-नैरंगी-ए-तब-ए-सनम होता
ज़माने की दो-रंगी का उसे हरगिज़ न ग़म होता

ये पाबंद-ए-मुसीबत दिल के हाथों हम तो रहते हैं
नहीं तो चैन से कटती न दिल होता न ग़म होता

उन्हीं की बे-वफ़ाई का ये है आठों-पहर सदमा
वही होते जो क़ाबू में तो फिर काहे को ग़म होता

लब-ओ-चश्म-ए-सनम गर देखने पाते कहीं शाइ'र
कोई शीरीं-सुख़न होता कोई जादू-रक़म होता

बहुत अच्छा हुआ आए न वो मेरी अयादत को
जो वो आते तो ग़ैर आते जो ग़ैर आते तो ग़म होता

अगर क़ब्रें नज़र आतीं न दारा-ओ-सिकन्दर की
मुझे भी इश्तियाक़-ए-दौलत-ओ-जाह-ओ-हशम होता

लिए जाता है जोश-ए-शौक़ हम को राह-ए-उल्फ़त में
नहीं तो ज़ोफ़ से दुश्वार चलना दो-क़दम होता

न रहने पाए दीवारों में रौज़न शुक्र है वर्ना
तुम्हें तो दिल-लगी होती ग़रीबों पर सितम होता

  - Akbar Allahabadi

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari