ik bosa deejie mera eimaan leejie
go but hain aap bahr-e-khuda maan leejie
dil le ke kahte hain tiri khaatir se le liya
ulta mujhi pe rakhte hain ehsaan leejie
ghairoon ko apne haath se hans kar khila diya
mujh se kabeeda ho ke kaha paan leejie
marna qubool hai magar ulfat nahin qubool
dil to na doonga aap ko main jaan leejie
haazir hua karunga main akshar huzoor mein
aaj achhi tarah se mujhe pehchaan leejie
इक बोसा दीजिए मिरा ईमान लीजिए
गो बुत हैं आप बहर-ए-ख़ुदा मान लीजिए
दिल ले के कहते हैं तिरी ख़ातिर से ले लिया
उल्टा मुझी पे रखते हैं एहसान लीजिए
ग़ैरों को अपने हाथ से हँस कर खिला दिया
मुझ से कबीदा हो के कहा पान लीजिए
मरना क़ुबूल है मगर उल्फ़त नहीं क़ुबूल
दिल तो न दूँगा आप को मैं जान लीजिए
हाज़िर हुआ करूँगा मैं अक्सर हुज़ूर में
आज अच्छी तरह से मुझे पहचान लीजिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Mehboob Shayari Shayari