dil-e-maayus mein vo shorishein barpa nahin hoti | दिल-ए-मायूस में वो शोरिशें बरपा नहीं होतीं - Akbar Allahabadi

dil-e-maayus mein vo shorishein barpa nahin hoti
umeedein is qadar tooti ki ab paida nahin hoti

meri betaabiyaan bhi juzw hain ik meri hasti ki
ye zaahir hai ki maujen khaariz az dariya nahin hoti

wahi pariyaan hain ab bhi raja indra ke akhaade mein
magar shahzaada-e-gulfaam par shaida nahin hoti

yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak
magar ye shauhron se apne be-parwa nahin hoti

ta'alluq dil ka kya baaki main rakhoon bazm-e-duniya se
vo dilkash sooraten ab anjuman-aara nahin hoti

hua hoon is qadar afsurda rang-e-baagh-e-hasti se
hawaaein fasl-e-gul ki bhi nashaat-afza nahin hoti

qaza ke saamne be-kaar hote hain hawas akbar
khuli hoti hain go aankhen magar beena nahin hoti

दिल-ए-मायूस में वो शोरिशें बरपा नहीं होतीं
उमीदें इस क़दर टूटीं कि अब पैदा नहीं होतीं

मिरी बेताबियाँ भी जुज़्व हैं इक मेरी हस्ती की
ये ज़ाहिर है कि मौजें ख़ारिज अज़ दरिया नहीं होतीं

वही परियाँ हैं अब भी राजा इन्दर के अखाड़े में
मगर शहज़ादा-ए-गुलफ़ाम पर शैदा नहीं होतीं

यहाँ की औरतों को इल्म की पर्वा नहीं बे-शक
मगर ये शौहरों से अपने बे-परवा नहीं होतीं

तअ'ल्लुक़ दिल का क्या बाक़ी मैं रक्खूँ बज़्म-ए-दुनिया से
वो दिलकश सूरतें अब अंजुमन-आरा नहीं होतीं

हुआ हूँ इस क़दर अफ़्सुर्दा रंग-ए-बाग़-ए-हस्ती से
हवाएँ फ़स्ल-ए-गुल की भी नशात-अफ़्ज़ा नहीं होतीं

क़ज़ा के सामने बे-कार होते हैं हवास 'अकबर'
खुली होती हैं गो आँखें मगर बीना नहीं होतीं

- Akbar Allahabadi
0 Likes

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari