har qadam kehta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahin hai dil lagaane ke liye
kya mujhe khush aaye ye hairat-sara-e-be-sabaat
hosh udne ke liye hai jaan jaane ke liye
dil ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko
kya badhe is bazm mein aankhen uthaane ke liye
khoob ummeedein bandhein lekin hui hirmaan naseeb
badliyaan uthhiin magar bijli girane ke liye
saans ki tarkeeb par mitti ko pyaar aa hi gaya
khud hui qaid us ko seene se lagaane ke liye
jab kaha main ne bhula do gair ko hans kar kaha
yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke liye
deeda-baazi vo kahaan aankhen raha karti hain band
jaan hi baaki nahin ab dil lagaane ke liye
mujh ko khush aayi hai masti shaikh jee ko farbahee
main hoon peene ke liye aur vo hain khaane ke liye
allah allah ke siva aakhir raha kuchh bhi na yaad
jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke liye
sur kahaan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen
josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke liye
हर क़दम कहता है तू आया है जाने के लिए
मंज़िल-ए-हस्ती नहीं है दिल लगाने के लिए
क्या मुझे ख़ुश आए ये हैरत-सरा-ए-बे-सबात
होश उड़ने के लिए है जान जाने के लिए
दिल ने देखा है बिसात-ए-क़ुव्वत-ए-इदराक को
क्या बढ़े इस बज़्म में आँखें उठाने के लिए
ख़ूब उम्मीदें बंधीं लेकिन हुईं हिरमाँ नसीब
बदलियाँ उट्ठीं मगर बिजली गिराने के लिए
साँस की तरकीब पर मिट्टी को प्यार आ ही गया
ख़ुद हुई क़ैद उस को सीने से लगाने के लिए
जब कहा मैं ने भुला दो ग़ैर को हँस कर कहा
याद फिर मुझ को दिलाना भूल जाने के लिए
दीदा-बाज़ी वो कहाँ आँखें रहा करती हैं बंद
जान ही बाक़ी नहीं अब दिल लगाने के लिए
मुझ को ख़ुश आई है मस्ती शैख़ जी को फ़रबही
मैं हूँ पीने के लिए और वो हैं खाने के लिए
अल्लाह अल्लाह के सिवा आख़िर रहा कुछ भी न याद
जो किया था याद सब था भूल जाने के लिए
सुर कहाँ के साज़ कैसा कैसी बज़्म-ए-सामईन
जोश-ए-दिल काफ़ी है 'अकबर' तान उड़ाने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Love Shayari Shayari