bithaai jaayengi parde mein bibiyaan kab tak
bane rahoge tum is mulk mein miyaan kab tak
harm-sara ki hifazat ko teg hi na rahi
to kaam denge ye chilman ki teeliyaan kab tak
miyaan se bibi hain parda hai un ko farz magar
miyaan ka ilm hi utha to phir miyaan kab tak
tabi'aton ka numoo hai hawa-e-maghrib mein
ye ghairatein ye hararat ye garmiyaan kab tak
awaam baandh len dohar to third waanter mein
second-first ki hon band khidkiyaan kab tak
jo munh dikhaai ki rasmon pe hai musir iblees
chupengi hazrat-e-hawa ki betiyaan kab tak
janab hazrat-e-'akbar hain haami-e-parda
magar vo kab tak aur un ki rubaaiyaan kab tak
बिठाई जाएँगी पर्दे में बीबियाँ कब तक
बने रहोगे तुम इस मुल्क में मियाँ कब तक
हरम-सरा की हिफ़ाज़त को तेग़ ही न रही
तो काम देंगी ये चिलमन की तीलियाँ कब तक
मियाँ से बीबी हैं पर्दा है उन को फ़र्ज़ मगर
मियाँ का इल्म ही उट्ठा तो फिर मियाँ कब तक
तबीअतों का नुमू है हवा-ए-मग़रिब में
ये ग़ैरतें ये हरारत ये गर्मियाँ कब तक
अवाम बाँध लें दोहर तो थर्ड वानटर में
सेकंड-फ़र्स्ट की हों बंद खिड़कियाँ कब तक
जो मुँह दिखाई की रस्मों पे है मुसिर इबलीस
छुपेंगी हज़रत-ए-हवा की बेटियाँ कब तक
जनाब हज़रत-ए-'अकबर' हैं हामी-ए-पर्दा
मगर वो कब तक और उन की रुबाइयाँ कब तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Democracy Shayari Shayari