hoon main parwaana magar sham'a to ho raat to ho
jaan dene ko hoon maujood koi baat to ho
dil bhi haazir sar-e-tasleem bhi kham ko maujood
koi markaz ho koi qibla-e-haajaat to ho
dil to bechain hai izhaar-e-iraadat ke liye
kisi jaanib se kuchh izhaar-e-karaamaat to ho
dil-kusha baada-e-saafi ka kise zauq nahin
baatin-afroz koi peer-e-kharaabaat to ho
guftani hai dil-e-pur-dard ka qissa lekin
kis se kahiye koi mustafsir-e-haalat to ho
daastaan-e-gham-e-dil kaun kahe kaun sune
bazm mein mauqa-e-izhaar-e-khayaalaat to ho
vaade bhi yaad dilaate hain gile bhi hain bahut
vo dikhaai bhi to den un se mulaqaat to ho
koi wa'iz nahin fitrat se balaaghat mein siva
magar insaan mein kuchh fahm-e-ishaaraat to ho
हूँ मैं परवाना मगर शम्अ तो हो रात तो हो
जान देने को हूँ मौजूद कोई बात तो हो
दिल भी हाज़िर सर-ए-तस्लीम भी ख़म को मौजूद
कोई मरकज़ हो कोई क़िबला-ए-हाजात तो हो
दिल तो बेचैन है इज़हार-ए-इरादत के लिए
किसी जानिब से कुछ इज़हार-ए-करामात तो हो
दिल-कुशा बादा-ए-साफ़ी का किसे ज़ौक़ नहीं
बातिन-अफ़रोज़ कोई पीर-ए-ख़राबात तो हो
गुफ़्तनी है दिल-ए-पुर-दर्द का क़िस्सा लेकिन
किस से कहिए कोई मुस्तफ़्सिर-ए-हालात तो हो
दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल कौन कहे कौन सुने
बज़्म में मौक़ा-ए-इज़हार-ए-ख़यालात तो हो
वादे भी याद दिलाते हैं गिले भी हैं बहुत
वो दिखाई भी तो दें उन से मुलाक़ात तो हो
कोई वाइ'ज़ नहीं फ़ितरत से बलाग़त में सिवा
मगर इंसान में कुछ फ़हम-ए-इशारात तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Visaal Shayari Shayari