haal-e-dil main suna nahin saka
lafz ma'na ko pa nahin saka
ishq nazuk-mizaj hai behad
aql ka bojh utha nahin saka
hosh aarif ki hai yahi pehchaan
ki khudi mein samaa nahin saka
ponch saka hai hum-nasheen aansu
daag-e-dil ko mita nahin saka
mujh ko hairat hai us ki qudrat par
alam us ko ghatta nahin saka
हाल-ए-दिल मैं सुना नहीं सकता
लफ़्ज़ मा'ना को पा नहीं सकता
इश्क़ नाज़ुक-मिज़ाज है बेहद
अक़्ल का बोझ उठा नहीं सकता
होश आरिफ़ की है यही पहचान
कि ख़ुदी में समा नहीं सकता
पोंछ सकता है हम-नशीं आँसू
दाग़-ए-दिल को मिटा नहीं सकता
मुझ को हैरत है उस की क़ुदरत पर
अलम उस को घटा नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Emotional Shayari Shayari