hawaa-e-shab bhi hai ambar-afshaan urooj bhi hai mah-e-mubeen ka | हवा-ए-शब भी है अम्बर-अफ़्शाँ उरूज भी है मह-ए-मुबीं का - Akbar Allahabadi

hawaa-e-shab bhi hai ambar-afshaan urooj bhi hai mah-e-mubeen ka
nisaar hone ki do ijaazat mahal nahin hai nahin nahin ka

agar ho zauq-e-sujood paida sitaara ho auj par jabeen ka
nishaan-e-sajda zameen par ho to fakhr hai vo rukh-e-zameen ka

saba bhi us gul ke paas aayi to mere dil ko hua ye khatka
koi shagoofa na ye khilaaye payaam laai na ho kahi ka

na mehr o mah par meri nazar hai na laala-o-gul ki kuch khabar hai
farogh-e-dil ke liye hai kaafi tasavvur us roo-e-aatisheen ka

na ilm-e-fitrat mein tum ho maahir na zauq-e-taaat hai tum se zaahir
ye be-usooli bahut buri hai tumhein na rakkhegi ye kahi ka

हवा-ए-शब भी है अम्बर-अफ़्शाँ उरूज भी है मह-ए-मुबीं का
निसार होने की दो इजाज़त महल नहीं है नहीं नहीं का

अगर हो ज़ौक़-ए-सुजूद पैदा सितारा हो औज पर जबीं का
निशान-ए-सज्दा ज़मीन पर हो तो फ़ख़्र है वो रुख़-ए-ज़मीं का

सबा भी उस गुल के पास आई तो मेरे दिल को हुआ ये खटका
कोई शगूफ़ा न ये खिलाए पयाम लाई न हो कहीं का

न मेहर ओ मह पर मिरी नज़र है न लाला-ओ-गुल की कुछ ख़बर है
फ़रोग़-ए-दिल के लिए है काफ़ी तसव्वुर उस रू-ए-आतिशीं का

न इल्म-ए-फ़ितरत में तुम हो माहिर न ज़ौक़-ए-ताअत है तुम से ज़ाहिर
ये बे-उसूली बहुत बुरी है तुम्हें न रक्खेगी ये कहीं का

- Akbar Allahabadi
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari