halke nahin hain zulf ke halke hain jaal ke | हल्क़े नहीं हैं ज़ुल्फ़ के हल्क़े हैं जाल के

  - Akbar Allahabadi

halke nahin hain zulf ke halke hain jaal ke
haan ai nigaah-e-shauq zara dekh-bhaal ke

pahunchen hain taa-kamar jo tire gesoo-e-rasa
maani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke

bos-o-kinaar-o-wasl-e-haseenaan hai khoob shaghl
kamtar buzurg honge khilaaf is khayal ke

qamat se tere saane-e-qudrat ne ai haseen
dikhla diya hai hashr ko saanche mein dhaal ke

shaan-e-dimaagh ishq ke jalwe se ye badhi
rakhta hai hosh bhi qadam apne sanbhaal ke

zeenat muqaddama hai museebat ka dehr mein
sab sham'a ko jalate hain saanche mein dhaal ke

hasti ke haq ke saamne kya asl-e-een-o-aan
putle ye sab hain aap ke wahm-o-khayaal ke

talwaar le ke uthata hai har taalib-e-farogh
daur-e-falak mein hain ye ishaare hilaal ke

pecheeda zindagi ke karo tum muqaddame
dikhla hi degi maut nateeja nikaal ke

हल्क़े नहीं हैं ज़ुल्फ़ के हल्क़े हैं जाल के
हाँ ऐ निगाह-ए-शौक़ ज़रा देख-भाल के

पहुँचे हैं ता-कमर जो तिरे गेसू-ए-रसा
मा'नी ये हैं कमर भी बराबर है बाल के

बोस-ओ-कनार-ओ-वस्ल-ए-हसीनाँ है ख़ूब शग़्ल
कमतर बुज़ुर्ग होंगे ख़िलाफ़ इस ख़याल के

क़ामत से तेरे साने-ए-क़ुदरत ने ऐ हसीं
दिखला दिया है हश्र को साँचे में ढाल के

शान-ए-दिमाग़ इश्क़ के जल्वे से ये बढ़ी
रखता है होश भी क़दम अपने सँभाल के

ज़ीनत मुक़द्दमा है मुसीबत का दहर में
सब शम्अ' को जलाते हैं साँचे में ढाल के

हस्ती के हक़ के सामने क्या अस्ल-ए-ईन-ओ-आँ
पुतले ये सब हैं आप के वहम-ओ-ख़याल के

तलवार ले के उठता है हर तालिब-ए-फ़रोग़
दौर-ए-फ़लक में हैं ये इशारे हिलाल के

पेचीदा ज़िंदगी के करो तुम मुक़द्दमे
दिखला ही देगी मौत नतीजा निकाल के

  - Akbar Allahabadi

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari