jo tumhaare lab-e-jaan-baksh ka shaida hoga | जो तुम्हारे लब-ए-जाँ-बख़्श का शैदा होगा

  - Akbar Allahabadi

jo tumhaare lab-e-jaan-baksh ka shaida hoga
uth bhi jaayega jahaan se to maseeha hoga

vo to moosa hua jo taalib-e-deedaar hua
phir vo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga

qais ka zikr mere shaan-e-junoon ke aage
agle waqton ka koi baadiya-paima hoga

aarzoo hai mujhe ik shakhs se milne ki bahut
naam kya luun koi allah ka banda hoga

laal-e-lab ka tire bosa to main leta hoon magar
dar ye hai khoon-e-jigar baad mein peena hoga

जो तुम्हारे लब-ए-जाँ-बख़्श का शैदा होगा
उठ भी जाएगा जहाँ से तो मसीहा होगा

वो तो मूसा हुआ जो तालिब-ए-दीदार हुआ
फिर वो क्या होगा कि जिस ने तुम्हें देखा होगा

क़ैस का ज़िक्र मिरे शान-ए-जुनूँ के आगे
अगले वक़्तों का कोई बादिया-पैमा होगा

आरज़ू है मुझे इक शख़्स से मिलने की बहुत
नाम क्या लूँ कोई अल्लाह का बंदा होगा

लाल-ए-लब का तिरे बोसा तो मैं लेता हूँ मगर
डर ये है ख़ून-ए-जिगर बाद में पीना होगा

  - Akbar Allahabadi

Kiss Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Kiss Shayari Shayari