khuda aligarh ke madarse ko tamaam amraaz se shifaa de | ख़ुदा अलीगढ़ के मदरसे को तमाम अमराज़ से शिफ़ा दे

  - Akbar Allahabadi

khuda aligarh ke madarse ko tamaam amraaz se shifaa de
bhare hue hain raees-zaade ameer-zaade shareef-zaade

lateef o khush-vaz'a chust-o-chaalaak o saaf-o-paakiza shaad-o-khurram
tabi'aton mein hai un ki jaudat dilon mein un ke hain nek iraade

kamaal mehnat se padh rahe hain kamaal ghairat se badh rahe hain
sawaar mashriq ki raah mein hain to maghribi raah mein piyaade

har ik hai un mein ka be-shak aisa ki aap use jaante hain jaisa
dikhaaye mehfil mein qadd-e-rana jo aap aayein to sar jhuka de

faqeer maange to saaf kah den ki tu hai mazboot ja kama kha
qubool farmaayein aap daawat to apna sarmaaya kul khila de

buton se un ko nahin lagaavat miso ki lete nahin vo aahat
tamaam quwwat hai sirf-e-khwaandan nazar ke bhole hain dil ki saade

nazar bhi aaye jo zulf-e-pechaan to samjhen ye koi paalisi hai
electric light us ko samjhen jo barq-vash koi koi de

nikalte hain kar ke ghol-bandi b-naam-e-tehzeeb o dard-mandi
ye kah ke lete hain sab se chande hamein jo tum do tumhein khuda de

unhen isee baat par yaqeen hai ki bas yahi asal kaar-e-deen hai
isee si hoga farogh-e-qaumi isee se chamkengi baap daade

makaan-e-college ke sab makeen hain abhi unhen tajarbe nahin hain
khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jaade

dilon mein un ke hai noor-e-eimaan qavi nahin hai magar nigahbaan
hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye sham'a aisa na ho bujha de

fareb de kar nikale matlab sikhaaye tahqeer-e-deen-o-mazhab
mita de aakhir ko vaz-e-millat numood-e-zaati ko gar badha de

yahi bas akbar ki iltijaa hai janaab-e-baari mein ye dua hai
uloom-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh khuda de

ख़ुदा अलीगढ़ के मदरसे को तमाम अमराज़ से शिफ़ा दे
भरे हुए हैं रईस-ज़ादे अमीर-ज़ादे शरीफ़-ज़ादे

लतीफ़ ओ ख़ुश-वज़्अ चुस्त-ओ-चालाक ओ साफ़-ओ-पाकीज़ा शाद-ओ-ख़ुर्रम
तबीअतों में है उन की जौदत दिलों में उन के हैं नेक इरादे

कमाल मेहनत से पढ़ रहे हैं कमाल ग़ैरत से बढ़ रहे हैं
सवार मशरिक़ की राह में हैं तो मग़रिबी राह में पियादे

हर इक है उन में का बे-शक ऐसा कि आप उसे जानते हैं जैसा
दिखाए महफ़िल में क़द्द-ए-रअना जो आप आएँ तो सर झुका दे

फ़क़ीर माँगें तो साफ़ कह दें कि तू है मज़बूत जा कमा खा
क़ुबूल फ़रमाएँ आप दावत तो अपना सरमाया कुल खिला दे

बुतों से उन को नहीं लगावट मिसों की लेते नहीं वो आहट
तमाम क़ुव्वत है सर्फ़-ए-ख़्वाँदन नज़र के भोले हैं दिल की सादे

नज़र भी आए जो ज़ुल्फ़-ए-पेचाँ तो समझें ये कोई पालिसी है
इलेक्ट्रिक लाईट उस को समझें जो बर्क़-वश कोई कोई दे

निकलते हैं कर के ग़ोल-बंदी ब-नाम-ए-तहज़ीब ओ दर्द-मंदी
ये कह के लेते हैं सब से चंदे हमें जो तुम दो तुम्हें ख़ुदा दे

उन्हें इसी बात पर यक़ीन है कि बस यही असल कार-ए-दीं है
इसी सी होगा फ़रोग़-ए-क़ौमी इसी से चमकेंगे बाप दादे

मकान-ए-कॉलेज के सब मकीं हैं अभी उन्हें तजरबे नहीं हैं
ख़बर नहीं है कि आगे चल कर है कैसी मंज़िल हैं कैसी जादे

दिलों में उन के है नूर-ए-ईमाँ क़वी नहीं है मगर निगहबाँ
हवा-ए-मंतिक़ अदा-ए-तिफ़ली ये शम्अ ऐसा न हो बुझा दे

फ़रेब दे कर निकाले मतलब सिखाए तहक़ीर-ए-दीन-ओ-मज़हब
मिटा दे आख़िर को वज़-ए-मिल्लत नुमूद-ए-ज़ाती को गर बढ़ा दे

यही बस 'अकबर' की इल्तिजा है जनाब-ए-बारी में ये दुआ है
उलूम-ओ-हिकमत का दर्स उन को प्रोफ़ेसर दें समझ ख़ुदा दे

  - Akbar Allahabadi

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari