ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna pada | इश्क़-ए-बुत में कुफ़्र का मुझ को अदब करना पड़ा

  - Akbar Allahabadi

ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna pada
jo brahman ne kaha aakhir vo sab karna pada

sabr karna furqat-e-mahboob mein samjhe the sahal
khul gaya apni samajh ka haal jab karna pada

tajarbe ne hubb-e-duniya se sikhaaya ehtiraaz
pehle kahte the faqat munh se aur ab karna pada

shaikh ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahin
deen ki khaatir se duniya ko talab karna pada

kya kahoon be-khud hua main kis nigah-e-mast se
aql ko bhi meri hasti ka adab karna pada

iqtiza fitrat ka rukta hai kahi ai hum-nasheen
shaikh-saahib ko bhi aakhir kaar-e-shab karna pada

aalam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katmaan-e-raaz
ek shay ko doosri shay ka sabab karna pada

sher ghairoon ke use mutlaq nahin aaye pasand
hazrat-e-'akbar ko bil-aakhir talab karna pada

इश्क़-ए-बुत में कुफ़्र का मुझ को अदब करना पड़ा
जो बरहमन ने कहा आख़िर वो सब करना पड़ा

सब्र करना फ़ुर्क़त-ए-महबूब में समझे थे सहल
खुल गया अपनी समझ का हाल जब करना पड़ा

तजरबे ने हुब्ब-ए-दुनिया से सिखाया एहतिराज़
पहले कहते थे फ़क़त मुँह से और अब करना पड़ा

शैख़ की मज्लिस में भी मुफ़्लिस की कुछ पुर्सिश नहीं
दीन की ख़ातिर से दुनिया को तलब करना पड़ा

क्या कहूँ बे-ख़ुद हुआ मैं किस निगाह-ए-मस्त से
अक़्ल को भी मेरी हस्ती का अदब करना पड़ा

इक़तिज़ा फ़ितरत का रुकता है कहीं ऐ हम-नशीं
शैख़-साहिब को भी आख़िर कार-ए-शब करना पड़ा

आलम-ए-हस्ती को था मद्द-ए-नज़र कत्मान-ए-राज़
एक शय को दूसरी शय का सबब करना पड़ा

शेर ग़ैरों के उसे मुतलक़ नहीं आए पसंद
हज़रत-ए-'अकबर' को बिल-आख़िर तलब करना पड़ा

  - Akbar Allahabadi

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari