dil ho kharab deen pe jo kuchh asar pade | दिल हो ख़राब दीन पे जो कुछ असर पड़े

  - Akbar Allahabadi

dil ho kharab deen pe jo kuchh asar pade
ab kaar-e-aashiqi to bahr-kaif kar pade

ishq-e-butaan ka deen pe jo kuchh asar pade
ab to nibaahna hai jab ik kaam kar pade

mazhab chhudaaya ishwaa-e-duniya ne shaikh se
dekhi jo rail oont se aakhir utar pade

betaabiyaan naseeb na theen warna hum-nasheen
ye kya zaroor tha ki unhin par nazar pade

behtar yahi hai qasd udhar ka karein na vo
aisa na ho ki raah mein dushman ka ghar pade

ham chahte hain mel vujood-o-adam mein ho
mumkin to hai jo beech mein un ki kamar pade

daana wahi hai dil jo kare aap ka khayal
beena wahi nazar hai ki jo aap par pade

honi na chahiye thi mohabbat magar hui
padna na chahiye tha gazab mein magar pade

shaitaan ki na maan jo raahat-naseeb ho
allah ko pukaar museebat agar pade

ai shaikh un buton ki ye chaalaakiyaan to dekh
nikle agar haram se to akbar ke ghar pade

दिल हो ख़राब दीन पे जो कुछ असर पड़े
अब कार-ए-आशिक़ी तो बहर-कैफ़ कर पड़े

इश्क़-ए-बुताँ का दीन पे जो कुछ असर पड़े
अब तो निबाहना है जब इक काम कर पड़े

मज़हब छुड़ाया इश्वा-ए-दुनिया ने शैख़ से
देखी जो रेल ऊँट से आख़िर उतर पड़े

बेताबियाँ नसीब न थीं वर्ना हम-नशीं
ये क्या ज़रूर था कि उन्हीं पर नज़र पड़े

बेहतर यही है क़स्द उधर का करें न वो
ऐसा न हो कि राह में दुश्मन का घर पड़े

हम चाहते हैं मेल वजूद-ओ-अदम में हो
मुमकिन तो है जो बीच में उन की कमर पड़े

दाना वही है दिल जो करे आप का ख़याल
बीना वही नज़र है कि जो आप पर पड़े

होनी न चाहिए थी मोहब्बत मगर हुई
पड़ना न चाहिए था ग़ज़ब में मगर पड़े

शैतान की न मान जो राहत-नसीब हो
अल्लाह को पुकार मुसीबत अगर पड़े

ऐ शैख़ उन बुतों की ये चालाकियाँ तो देख
निकले अगर हरम से तो 'अकबर' के घर पड़े

  - Akbar Allahabadi

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari