na bahte ashk to taaseer mein siva hote | न बहते अश्क तो तासीर में सिवा होते

  - Akbar Allahabadi

na bahte ashk to taaseer mein siva hote
sadaf mein rahte ye moti to be-baha hote

mujh aise rind se rakhte zaroor hi ulfat
janaab-e-sheikh agar aashiq-e-khuda hote

gunaahgaaron ne dekha jamaal-e-rahmat ko
kahaan naseeb ye hota jo be-khata hote

janaab-e-hazrat-e-naaseh ka waah kya kehna
jo ek baat na hoti to auliya hote

mazaq-e-ishq nahin sheikh mein ye hai afsos
ye chaashni bhi jo hoti to kya se kya hote

mahall-e-shukr hain akbar ye darfashaan nazmein
har ik zabaan ko ye moti nahin ata hote

न बहते अश्क तो तासीर में सिवा होते
सदफ़ में रहते ये मोती तो बे-बहा होते

मुझ ऐसे रिंद से रखते ज़रूर ही उल्फ़त
जनाब-ए-शैख़ अगर आशिक़-ए-ख़ुदा होते

गुनाहगारों ने देखा जमाल-ए-रहमत को
कहाँ नसीब ये होता जो बे-ख़ता होते

जनाब-ए-हज़रत-ए-नासेह का वाह क्या कहना
जो एक बात न होती तो औलिया होते

मज़ाक़-ए-इश्क़ नहीं शेख़ में ये है अफ़्सोस
ये चाशनी भी जो होती तो क्या से क्या होते

महल्ल-ए-शुक्र हैं 'अकबर' ये दरफ़शाँ नज़्में
हर इक ज़बाँ को ये मोती नहीं अता होते

  - Akbar Allahabadi

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari