charkh se kuchh umeed thi hi nahin
aarzoo main ne koi ki hi nahin
mazhabi bahs main ne ki hi nahin
faaltu aql mujh mein thi hi nahin
chahta tha bahut si baaton ko
magar afsos ab vo jee hi nahin
jurat-e-arz-e-haal kya hoti
nazar-e-lutf us ne ki hi nahin
is museebat mein dil se kya kehta
koi aisi misaal thi hi nahin
aap kya jaanen qadr-e-ya-allah
jab museebat koi padi hi nahin
shirk chhodaa to sab ne chhod diya
meri koi society hi nahin
poocha akbar hai aadmi kaisa
hans ke bole vo aadmi hi nahin
चर्ख़ से कुछ उमीद थी ही नहीं
आरज़ू मैं ने कोई की ही नहीं
मज़हबी बहस मैं ने की ही नहीं
फ़ालतू अक़्ल मुझ में थी ही नहीं
चाहता था बहुत सी बातों को
मगर अफ़्सोस अब वो जी ही नहीं
जुरअत-ए-अर्ज़-ए-हाल क्या होती
नज़र-ए-लुत्फ़ उस ने की ही नहीं
इस मुसीबत में दिल से क्या कहता
कोई ऐसी मिसाल थी ही नहीं
आप क्या जानें क़द्र-ए-या-अल्लाह
जब मुसीबत कोई पड़ी ही नहीं
शिर्क छोड़ा तो सब ने छोड़ दिया
मेरी कोई सोसाइटी ही नहीं
पूछा 'अकबर' है आदमी कैसा
हँस के बोले वो आदमी ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Tamanna Shayari Shayari