dard to maujood hai dil mein dava ho ya na ho | दर्द तो मौजूद है दिल में दवा हो या न हो - Akbar Allahabadi

dard to maujood hai dil mein dava ho ya na ho
bandagi haalat se zaahir hai khuda ho ya na ho

jhoomti hai shaakh-e-gul khilte hain gunche dam-b-dam
ba-asar gulshan mein tahreek-e-saba ho ya na ho

vajd mein laate hain mujh ko bulbulon ke zamzame
aap ke nazdeek ba-ma'ni sada ho ya na ho

kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein shareek
us ka kuch maqsood koi muddaa ho ya na ho

kyun civil-surgeon ka aana rokta hai hum-nasheen
is mein hai ik baat onor ki shifaa ho ya na ho

maulvi saahib na chhodenge khuda go bakhsh de
gher hi lenge police waale saza ho ya na ho

mimbri se aap par to varnish ho jaayegi
qaum ki haalat mein kuch is se jila ho ya na ho

mo'tariz kyun ho agar samjhe tumhein sayyaad dil
aise gesu hoon to shubh daam ka ho ya na ho

दर्द तो मौजूद है दिल में दवा हो या न हो
बंदगी हालत से ज़ाहिर है ख़ुदा हो या न हो

झूमती है शाख़-ए-गुल खिलते हैं ग़ुंचे दम-ब-दम
बा-असर गुलशन में तहरीक-ए-सबा हो या न हो

वज्द में लाते हैं मुझ को बुलबुलों के ज़मज़मे
आप के नज़दीक बा-मअ'नी सदा हो या न हो

कर दिया है ज़िंदगी ने बज़्म-ए-हस्ती में शरीक
उस का कुछ मक़्सूद कोई मुद्दआ हो या न हो

क्यूँ सिवल-सर्जन का आना रोकता है हम-नशीं
इस में है इक बात ऑनर की शिफ़ा हो या न हो

मौलवी साहिब न छोड़ेंगे ख़ुदा गो बख़्श दे
घेर ही लेंगे पुलिस वाले सज़ा हो या न हो

मिमबरी से आप पर तो वार्निश हो जाएगी
क़ौम की हालत में कुछ इस से जिला हो या न हो

मो'तरिज़ क्यूँ हो अगर समझे तुम्हें सय्याद दिल
ऐसे गेसू हूँ तो शुबह दाम का हो या न हो

- Akbar Allahabadi
0 Likes

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari