dil mera jis se bahalta koi aisa na mila | दिल मिरा जिस से बहलता कोई ऐसा न मिला

  - Akbar Allahabadi

dil mera jis se bahalta koi aisa na mila
but ke bande mile allah ka banda na mila

bazm-e-yaaraan se firee baad-e-bahaari mayus
ek sar bhi use aamada-e-sauda na mila

gul ke khwaahan to nazar aaye bahut itr-farosh
talib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaida na mila

waah kya raah dikhaai hai hamein murshid ne
kar diya kaabe ko gum aur kaleesa na mila

rang chehre ka to college ne bhi rakha qaaim
rang-e-baatin mein magar baap se beta na mila

sayyad utthe jo gazat le ke to laakhon laaye
shaikh quraan dikhaate phire paisa na mila

hoshyaaron mein to ik ik se siva hain akbar
mujh ko deewaanon mein lekin koi tujh sa na mila

दिल मिरा जिस से बहलता कोई ऐसा न मिला
बुत के बंदे मिले अल्लाह का बंदा न मिला

बज़्म-ए-याराँ से फिरी बाद-ए-बहारी मायूस
एक सर भी उसे आमादा-ए-सौदा न मिला

गुल के ख़्वाहाँ तो नज़र आए बहुत इत्र-फ़रोश
तालिब-ए-ज़मज़मा-ए-बुलबुल-ए-शैदा न मिला

वाह क्या राह दिखाई है हमें मुर्शिद ने
कर दिया काबे को गुम और कलीसा न मिला

रंग चेहरे का तो कॉलेज ने भी रक्खा क़ाइम
रंग-ए-बातिन में मगर बाप से बेटा न मिला

सय्यद उट्ठे जो गज़ट ले के तो लाखों लाए
शैख़ क़ुरआन दिखाते फिरे पैसा न मिला

होशयारों में तो इक इक से सिवा हैं 'अकबर'
मुझ को दीवानों में लेकिन कोई तुझ सा न मिला

  - Akbar Allahabadi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari