jhoom kar badli uthi aur chha gai | झूम कर बदली उठी और छा गई - Akhtar Shirani

jhoom kar badli uthi aur chha gai
saari duniya par jawaani aa gai

aah vo us ki nigaah-e-may-farosh
jab bhi utthi mastiyaan barsa gai

gesoo-e-mushkeen mein vo roo-e-haseen
abr mein bijli si ik lahara gai

aalam-e-masti ki tauba al-amaan
paarsaai nashsha ban kar chha gai

aah us ki be-niyaazi ki nazar
aarzoo kya phool si kumhala gai

saaz-e-dil ko gudgudaaya ishq ne
maut ko le kar jawaani aa gai

paarsaai ki javaan-margi na pooch
tauba karne thi ki badli chha gai

akhtar us jaan-e-tamanna ki ada
jab kabhi yaad aa gai tadpa gai

झूम कर बदली उठी और छा गई
सारी दुनिया पर जवानी आ गई

आह वो उस की निगाह-ए-मय-फ़रोश
जब भी उट्ठी मस्तियाँ बरसा गई

गेसू-ए-मुश्कीं में वो रू-ए-हसीं
अब्र में बिजली सी इक लहरा गई

आलम-ए-मस्ती की तौबा अल-अमाँ
पारसाई नश्शा बन कर छा गई

आह उस की बे-नियाज़ी की नज़र
आरज़ू क्या फूल सी कुम्हला गई

साज़-ए-दिल को गुदगुदाया इश्क़ ने
मौत को ले कर जवानी आ गई

पारसाई की जवाँ-मर्गी न पूछ
तौबा करनी थी कि बदली छा गई

'अख़्तर' उस जान-ए-तमन्ना की अदा
जब कभी याद आ गई तड़पा गई

- Akhtar Shirani
0 Likes

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari