kaam aa sakeen na apni wafaayein to kya karein
us bewafa ko bhool na jaayen to kya karein
mujh ko ye e'tiraaf duaon mein hai asar
jaayen na arsh par jo duaaein to kya karein
ik din ki baat ho to use bhool jaayen ham
naazil hon dil pe roz balaaen to kya karein
zulmat-b-dosh hai meri duniya-e-aashiqi
taaron ki mish'ale na churaayein to kya karein
shab bhar to un ki yaad mein taare gina kiye
taare se din ko bhi nazar aayein to kya karein
ahad-e-tarab ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskuraa ke bhool na jaayen to kya karein
ab jee mein hai ki un ko bhula kar hi dekh len
vo baar baar yaad jo aayein to kya karein
wa'de ke e'tibaar mein taskin-e-dil to hai
ab phir wahi fareb na khaayein to kya karein
tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar
milne lagen wafa ki sazaayein to kya karein
काम आ सकीं न अपनी वफ़ाएँ तो क्या करें
उस बेवफ़ा को भूल न जाएँ तो क्या करें
मुझ को ये ए'तिराफ़ दुआओं में है असर
जाएँ न अर्श पर जो दुआएँ तो क्या करें
इक दिन की बात हो तो उसे भूल जाएँ हम
नाज़िल हों दिल पे रोज़ बलाएँ तो क्या करें
ज़ुल्मत-ब-दोश है मिरी दुनिया-ए-आशिक़ी
तारों की मिशअले न चुराएँ तो क्या करें
शब भर तो उन की याद में तारे गिना किए
तारे से दिन को भी नज़र आएँ तो क्या करें
अहद-ए-तरब की याद में रोया किए बहुत
अब मुस्कुरा के भूल न जाएँ तो क्या करें
अब जी में है कि उन को भुला कर ही देख लें
वो बार बार याद जो आएँ तो क्या करें
वअ'दे के ए'तिबार में तस्कीन-ए-दिल तो है
अब फिर वही फ़रेब न खाएँ तो क्या करें
तर्क-ए-वफ़ा भी जुर्म-ए-मोहब्बत सही मगर
मिलने लगें वफ़ा की सज़ाएँ तो क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shirani
our suggestion based on Akhtar Shirani
As you were reading Sach Shayari Shayari