yaqeen-e-wadaa nahin taab-e-intizaar nahin | यक़ीन-ए-वादा नहीं ताब-ए-इंतिज़ार नहीं

  - Akhtar Shirani

yaqeen-e-wadaa nahin taab-e-intizaar nahin
kisi tarah bhi dil-e-zaar ko qaraar nahin

shabon ko khwaab nahin khwaab ko qaraar nahin
ki zeb-e-dosh vo gesu-e-mushk-baar nahin

kali kali mein samaai hai nikhat-e-salma
shameem-e-hoor hai ye boo-e-nau-bahaar nahin

kahaan kahaan na hue maah-roo juda mujh se
kahaan kahaan meri ummeed ka mazaar nahin

ghamon ki fasl hamesha rahi tar o taaza
ye vo khizaan hai ki sharminda-e-bahaar nahin

bahaar aayi hai aise mein tum bhi aa jaao
ki zindagi ka b-rang-e-gul e'tibaar nahin

kisi ki zulf-e-pareshaan ka saaya-e-raqsan hai
fazaa mein baal-fishaan abr-e-nau-bahaar nahin

sitaara-waar vo pahluu mein aa gaye shab ko
sehar se kah do ki mehfil mein aaj baar nahin

gul-e-fasurda bhi ik turfah husn rakhta hai
khizaan ye hai to mujhe hasrat-e-bahaar nahin

har ek jaam pe ye naghma-e-hazeen saaqi
ki is jawaani-e-faani ka e'tibaar nahin

khuda ne bakhsh diye mere dil ko gham itne
ki ab main apne gunaahon pe sharmasaar nahin

chaman ki chaandni raatein hain kis qadar veeraan
ki is bahaar mein vo maah-e-nau-bahaar nahin

shareek-e-soz hain parwaane sham'a ke akhtar
hamaare dil ka magar koi gham-gusaar nahin

यक़ीन-ए-वादा नहीं ताब-ए-इंतिज़ार नहीं
किसी तरह भी दिल-ए-ज़ार को क़रार नहीं

शबों को ख़्वाब नहीं ख़्वाब को क़रार नहीं
कि ज़ेब-ए-दोश वो गेसू-ए-मुश्क-बार नहीं

कली कली में समाई है निकहत-ए-सलमा
शमीम-ए-हूर है ये बू-ए-नौ-बहार नहीं

कहाँ कहाँ न हुए माह-रू जुदा मुझ से
कहाँ कहाँ मिरी उम्मीद का मज़ार नहीं

ग़मों की फ़स्ल हमेशा रही तर ओ ताज़ा
ये वो ख़िज़ाँ है कि शर्मिंदा-ए-बहार नहीं

बहार आई है ऐसे में तुम भी आ जाओ
कि ज़िंदगी का ब-रंग-ए-गुल ए'तिबार नहीं

किसी की ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ का साया-ए-रक़्साँ है
फ़ज़ा में बाल-फ़िशाँ अब्र-ए-नौ-बहार नहीं

सितारा-वार वो पहलू में आ गए शब को
सहर से कह दो कि महफ़िल में आज बार नहीं

गुल-ए-फ़सुर्दा भी इक तुर्फ़ा हुस्न रखता है
ख़िज़ाँ ये है तो मुझे हसरत-ए-बहार नहीं

हर एक जाम पे ये नग़्मा-ए-हज़ीं साक़ी
कि इस जवानी-ए-फ़ानी का ए'तिबार नहीं

ख़ुदा ने बख़्श दिए मेरे दिल को ग़म इतने
कि अब मैं अपने गुनाहों पे शर्मसार नहीं

चमन की चाँदनी रातें हैं किस क़दर वीराँ
कि इस बहार में वो माह-ए-नौ-बहार नहीं

शरीक-ए-सोज़ हैं परवाने शम्अ के 'अख़्तर'
हमारे दिल का मगर कोई ग़म-गुसार नहीं

  - Akhtar Shirani

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari