dil mein khayaal-e-nargis-e-jaanaana aa gaya | दिल में ख़याल-ए-नर्गिस-ए-जानाना आ गया

  - Akhtar Shirani

dil mein khayaal-e-nargis-e-jaanaana aa gaya
phoolon se khelta hua deewaana aa gaya

baadal ke uthte hi may o paimaana aa gaya
bijli ke saath saath pari-khaana aa gaya

maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahaar
paimaana kya ki vajd mein may-khaana aa gaya

us chashm-e-may-farosh ki taaseer kya kahoon
honton tak aaj aap hi paimaana aa gaya

maaloom kis ko qais ki deewaangi ki shaan
hangaama sa bapaa hai ki deewaana aa gaya

akhtar gazab thi ahad-e-jawaani ki dastaan
aankhon ke aage ek pari-khaana aa gaya

दिल में ख़याल-ए-नर्गिस-ए-जानाना आ गया
फूलों से खेलता हुआ दीवाना आ गया

बादल के उठते ही मय ओ पैमाना आ गया
बिजली के साथ साथ परी-ख़ाना आ गया

मस्तों ने इस अदा से किया रक़्स-ए-नौ-बहार
पैमाना क्या कि वज्द में मय-ख़ाना आ गया

उस चश्म-ए-मय-फ़रोश की तासीर क्या कहूँ
होंटों तक आज आप ही पैमाना आ गया

मालूम किस को क़ैस की दीवानगी की शान
हंगामा सा बपा है कि दीवाना आ गया

'अख़्तर' ग़ज़ब थी अहद-ए-जवानी की दास्ताँ
आँखों के आगे एक परी-ख़ाना आ गया

  - Akhtar Shirani

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari