aashna ho kar taghaaful aashna kyun ho gaye | आश्ना हो कर तग़ाफ़ुल आश्ना क्यूँ हो गए

  - Akhtar Shirani

aashna ho kar taghaaful aashna kyun ho gaye
ba-wafa the tum to aakhir bewafa kyun ho gaye

aur bhi rahte abhi kuchh din nazar ke saamne
dekhte hi dekhte ham se khafa kyun ho gaye

in wafadari ke vaadon ko ilaahi kya hua
vo wafaayein karne waale bewafa kyun ho gaye

kis tarah dil se bhula baithe hamaari yaad ko
is tarah pardes ja kar bewafa kyun ho gaye

tum to kahte the ki ham tujh ko na bhoolenge kabhi
bhool kar ham ko taghaaful aashna kyun ho gaye

ham tumhaara dard-e-dil sun sun ke hanste the kabhi
aaj rote hain ki yun dard-aashna kyun ho gaye

chaand ke tukde bhi nazaron mein samaa sakte nahin
kya bataayein ham tire dar ke gada kyun ho gaye

ye jawaani ye ghataaein ye hawaaein ye bahaar
hazrat-e-'akhtar abhi se paarsa kyun ho gaye

आश्ना हो कर तग़ाफ़ुल आश्ना क्यूँ हो गए
बा-वफ़ा थे तुम तो आख़िर बेवफ़ा क्यूँ हो गए

और भी रहते अभी कुछ दिन नज़र के सामने
देखते ही देखते हम से ख़फ़ा क्यूँ हो गए

इन वफ़ादारी के वादों को इलाही क्या हुआ
वो वफ़ाएँ करने वाले बेवफ़ा क्यूँ हो गए

किस तरह दिल से भुला बैठे हमारी याद को
इस तरह परदेस जा कर बेवफ़ा क्यूँ हो गए

तुम तो कहते थे कि हम तुझ को न भूलेंगे कभी
भूल कर हम को तग़ाफ़ुल आश्ना क्यूँ हो गए

हम तुम्हारा दर्द-ए-दिल सुन सुन के हँसते थे कभी
आज रोते हैं कि यूँ दर्द-आश्ना क्यूँ हो गए

चाँद के टुकड़े भी नज़रों में समा सकते नहीं
क्या बताएँ हम तिरे दर के गदा क्यूँ हो गए

ये जवानी ये घटाएँ ये हवाएँ ये बहार
हज़रत-ए-'अख़्तर' अभी से पारसा क्यूँ हो गए

  - Akhtar Shirani

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari